Muslim Life Pro
  • Home
  • Personalized
    • My Feed
    • My Saves
    • My Interests
    • History
  • Pages
    • Search Page
    • 404 Page
  • Blog
Subscribe
  • New Naat Lyrics Hindi
  • Naat-Sharif
  • Naat Lyrics
  • Manqabat-Sharif
  • M
  • Islam
  • Urdu
  • Lyrics in Hindi
  • Islamic Tarika
  • A
Wednesday, Jun 18, 2025
Muslim Life Pro
  • A
  • B
  • C
  • D
  • E
  • F
  • G
  • H
  • I
  • J
  • K
  • L
  • M
  • N
  • O
  • P
  • Q
  • R
  • S
  • T
  • U
  • V
  • W
  • X
  • Y
  • Z
  • Naat-Sharif
  • Salato-Salam
  • Manqabat-Sharif
  • Surah Collection
  • Islamic Tarika
  • Islam
  • Shayari
  • Wazaif
  • Namaz
  • Contact Us
  • News
  • My Saves
  • My Feed
  • My Interests
  • History
Search
  • Naat-Sharif
  • Salato-Salam
  • Manqabat-Sharif
  • Surah Collection
  • Islamic Tarika
  • Islam
  • Shayari
  • Wazaif
  • Namaz
  • Contact Us
  • News
  • My Saves
  • My Feed
  • My Interests
  • History
Follow US
Muslim Life Pro > Blog > New Naat Lyrics Hindi > Ajab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain / अजब करम शह ए वाला तबार करते हैं
New Naat Lyrics HindiAjab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain lyricsAjab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain lyrics in HindiAjab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain lyrics in Roman englishNaat LyricsNaat-Sharif

Ajab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain / अजब करम शह ए वाला तबार करते हैं

admin
Last updated: May 13, 2025 10:01 am
admin
Byadmin
Follow:
Share
SHARE

Increase Text Size +

  • 90%  100%  110%  120%  
Muslim Life Pro App
Download
WhatsApp Group
Join Now

 

Ajab Karam Shahe Wala Tabar Karte Hain
ki naa-umeedo.n ko ummeedwaar karte hai.n

jama ke dil me.n safe.n hasrat-o-tamanna ki
nigaah-e-lutf ka ham intizaar karte hai.n

mujhe fasurdagi-e-baKHt ka alam kya ho
wo ek dam me.n KHizaa.n ko bahaar karte hai.n

KHuda sagaan-e-nabi se ye mujh ko sunwa de
ham apne kutto.n me.n tujh ko shumaar karte hai.n

malaaika ko bhi hai.n kuchh fazeelate.n ham par
ki paas rehte hai.n tauf-e-mazaar karte hai.n

jo KHush-naseeb yahaa.n KHaak-e-dar pe baiThte hai.n
juloos-e-masnad-e-shaahi se ‘aar karte hai.n

hamaare dil ki lagi bhi wahi bujha denge
jo dam me.n aag ko baaG-o-bahaar karte hai.n

ishaara kar do to baad-e-KHilaaf ke jhonke
abhi hamaare safeene ko paar karte hai.n

tumhaare dar ke gadaao.n ki shaan ‘aali hai
wo jis ko chaahte hai.n taajdaar karte hai.n

gada gada hai, gada to kiya hi chaahe adab
ba.De ba.De tere dar ka waqaar karte hai.n

tamaam KHalq ko manzoor hai raza jin ki
raza huzoor ki wo iKHtiyaar karte hai.n

suna ke wasf-e-ruKH-e-paak ‘andaleeb ko ham
raheen-e-aamad-e-fasl-e-bahaar karte hai.n

hawa KHilaaf ho, chakraae naao, kya Gam ho
wo ek aan me.n be.De ko paar karte hai.n

ana laha se wo baazaar-e-kasm-pursaa.n me.n
tasalli-e-dil-e-be-iKHtiyaar karte hai.n

banaai pusht na kaa’ba ki un ke ghar ki taraf
jinhe.n KHabar hai wo aisa waqaar karte hai.n

kabhi wo taajwaraan-e-zamaana kar na sake
jo kaam aap ke KHidmat-guzaar karte hai.n

hawa-e-daaman-e-jaanaa.n ke jaa.n-fiza jhonke
KHizaa.n-raseedo.n ko baaG-o-bahaar karte hai.n

sagaan-e-koo-e-nabi ke naseeb par qurbaa.n
pa.De hue sar-e-rah iftiKHaar karte hai.n

koi ye poochhe mere dil se meri hasrat se
ki TooTe haal me.n kya Gam-gusaar karte hai.n

wo un ke dar ke faqeero.n se kyu.n nahi.n kehte
jo shikwa-e-sitam-e-rozgaar karte hai.n

tumhaare hijr ke sadmo.n ki taab kis ko hai
ye chob-e-KHushk ko bhi be-qaraar karte hai.n

kisi bala se unhe.n pahunche kis tarah aaseb
jo tere naam se apna hisaar karte hai.n

ye narm dil hai.n wo pyaare ki saKHtiyo.n par bhi
‘adoo ke haq me.n du’aa baar baar karte hai.n

kushood-e-‘uqda-e-mushkil ki kyu.n mai.n fikr karu.n
ye kaam to mere tayba ke KHaar karte hai.n

zameen-e-koo-e-nabi ke jo lete hai.n bose
farishtagaan-e-falak un ko pyaar karte hai.n

tumhaare dar pe gada bhi hai.n haath phailaae
tumhi.n se ‘arz-e-du’aa shahryaar karte hai.n

kise hai deed-e-jamaal-e-KHuda pasand ki taab
wo poore jalwe kahaa.n aashkaar karte hai.n

hamaare naKHl-e-tamanna ko bhi wo phal denge
daraKHt-e-KHushk ko jo baar-daar karte hai.n

pa.De hai.n KHwaab-e-taGaaful me.n ham magar maula
tarah tarah se hame.n hoshiyaar karte hai.n

suna na marte hue aaj tak kisi ne unhe.n
jo apne jaan-o-dil un par nisaar karte hai.n

unhi.n ka jalwa sar-e-bazm dekhte hai.n patang
unhi.n ki yaad chaman me.n hazaar karte hai.n

mere kareem na aaho ko qaid dekh sake
‘abas aseer-e-alam intishaar karte hai.n

jo zarre aate hai.n paa-e-huzoor ke neeche
chamak ke mehr ko wo sharmsaar karte hai.n

jo moo-e-paak ko rakhte hai.n apni Topi me.n
shujaa’ate.n wo dam-e-kaar-zaar karte hai.n

jidhar wo aate hai.n ab us me.n dil ho.n ya raahe.n
mahak se gesuo.n ki mushkbaar karte hai.n

Hasan ki jaan ho us wus’at-e-karam pe nisaar
ki ik jahaan ko ummeedwaar karte hai.n

अजब करम शह ए वाला तबार करते हैं
कि ना उमीदों को उम्मीदवार करते हैं

जमा के दिल में सफ़ें हसरत ओ तमन्ना की
निगाह ए लुत्फ़ का हम इंतिज़ार करते हैं

मुझे फ़सुर्दगी ए बख़्त का अलम क्या हो
वो एक दम में ख़िज़ाँ को बहार करते हैं

ख़ुदा सगान ए नबी से ये मुझ को सुनवा दे
हम अपने कुत्तों में तुझ को शुमार करते हैं

मलाइका को भी हैं कुछ फ़ज़ीलतें हम पर
कि पास रहते हैं तौफ़ ए मज़ार करते हैं

जो ख़ुश नसीब यहाँ ख़ाक ए दर पे बैठते हैं
जुलूस ए मसनद ए शाही से आर करते हैं

हमारे दिल की लगी भी वही बुझा देंगे
जो दम में आग को बाग़ ओ बहार करते हैं

इशारा कर दो तो बाद ए ख़िलाफ़ के झोंके
अभी हमारे सफ़ीने को पार करते हैं

तुम्हारे दर के गदाओं की शान आली है
वो जिस को चाहते हैं ताजदार करते हैं

गदा गदा है गदा तो किया ही चाहे अदब
बड़े बड़े तेरे दर का वक़ार करते हैं

तमाम ख़ल्क़ को मंज़ूर है रज़ा जिन की
रज़ा हुज़ूर की वो इख़्तियार करते हैं

सुना के वस्फ़ ए रुख़ ए पाक अंदलीब को हम
रहीन ए आमद ए फ़स्ल ए बहार करते हैं

हवा ख़िलाफ़ हो चकराए नाओ क्या ग़म हो
वो एक आन में बेड़े को पार करते हैं

अना लहा से वो बाज़ार ए कस्म पुर्सां में
तसल्ली ए दिल ए बे इख़्तियार करते हैं

बनाई पुश्त न काबा की उन के घर की तरफ़
जिन्हें ख़बर है वो ऐसा वक़ार करते हैं

कभी वो ताजवरान ए ज़माना कर न सकें
जो काम आप के ख़िदमत गुज़ार करते हैं

हवा ए दामन ए जानाँ के जाँ फ़िज़ा झोंके
ख़िज़ाँ रसीदों को बाग़ ओ बहार करते हैं

सगान ए कू ए नबी के नसीब पर क़ुर्बां
पड़े हुए सर ए रह इफ़्तिख़ार करते हैं

कोई ये पूछे मिरे दिल से मेरी हसरत से
कि टूटे हाल में क्या ग़म गुसार करते हैं

वो उन के दर के फ़क़ीरों से क्यूँ नहीं कहते
जो शिकवा ए सितम ए रोज़गार करते हैं

तुम्हारे हिज्र के सदमों की ताब किस को है
ये चोब ए ख़ुश्क को भी बे क़रार करते हैं

किसी बला से उन्हें पहुँचे किस तरह आसेब
जो तेरे नाम से अपना हिसार करते हैं

ये नर्म दिल हैं वो प्यारे कि सख़्तियों पर भी
अदू के हक़ में दुआ बार बार करते हैं

कुशूद ए उक़्दा ए मुश्किल की क्यूँ मैं फ़िक्र करूँ
ये काम तो मिरे तयबा के ख़ार करते हैं

ज़मीन ए कू ए नबी के जो लेते हैं बोसे
फ़रिश्तगान ए फ़लक उन को प्यार करते हैं

तुम्हारे दर पे गदा भी हैं हाथ फैलाए
तुम्हीं से अर्ज़ ए दु आ शहरयार करते हैं

किसे है दीद ए जमाल ए ख़ुदा पसंद की ताब
वो पूरे जल्वे कहाँ आशकार करते हैं

हमारे नख़्ल ए तमन्ना को भी वो फल देंगे
दरख़्त ए ख़ुश्क को जो बार दार करते हैं

पड़े हैं ख़्वाब ए तग़ाफ़ुल में हम मगर मौला
तरह तरह से हमें होशियार करते हैं

सुना न मरते हुए आज तक किसी ने उन्हें
जो अपने जान ओ दिल उन पर निसार करते हैं

उन्हीं का जल्वा सर ए बज़्म देखते हैं पतंग
उन्हीं की याद चमन में हज़ार करते हैं

मिरे करीम न आहो को क़ैद देख सके
अबस असीर ए अलम इंतिशार करते हैं

जो ज़र्रे आते हैं पा ए हुज़ूर के नीचे
चमक के मेहर को वो शर्मसार करते हैं

जो मू ए पाक को रखते हैं अपनी टोपी में
शुजा अतें वो दम ए कार ज़ार करते हैं

जिधर वो आते हैं अब उस में दिल हों या राहें
महक से गेसुओं की मुश्कबार करते हैं

हसन की जान हो उस वुस अत ए करम पे निसार
कि इक जहान को उम्मीदवार करते हैं

Telegram Group
Join Now
Share This Article
Facebook Whatsapp Whatsapp Threads Copy Link Print
Share
Leave a Comment

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

  • ए सबा नबी से केहना जो मदीने को तू जाए / Aye Saba Nabi Se Kehna Jo Madine Mo Tu Jaaye
  • गूंजी सदा जो अल्लाहु अकबर ज़मीन पर / Gunji Sada Jo Allahu Akbar Zameen Par
  • सरकार का पसीना सरकार का पसीना / Sarkar ka Paseena Sarkar Ka Paseena
  • काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula Lyrics
  • छुप छुप के अश्क बहाता हूं जब याद मदीना आता है / Chhup Chhup Ke Ashk Bahata Hoon Jab Yaad Madina Aata Hai

Recent Comments

  1. Jabbar khan on Bul Hawas Sun Seem o Zar Ki Bandagi Achchhi Nahin | Un Ke Dar Ki Bheek Achchhi Sarwari Achchhi Nahin / बुल हवस सुन सीम ओ ज़र की बंदगी अच्छी नहीं | उन के दर की भीक अच
  2. admin on Best Alhamdulillah Islamic Bio for Instagram & Quotes
  3. Aadil Sheikh on Best Alhamdulillah Islamic Bio for Instagram & Quotes

You Might Also Like

Lyrics in HindiKNaatNaat LyricsNaat-SharifSayed Zabeeb MasoodSyed Manzoor ul KonainTamannaUrduZahid Fakhri

Kash Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota / काश वो चेहरा मेरी आँख ने देखा होता

2 Min Read

Ya Nabi Ab Madine Bula Lijiye / या नबी अब मदीने बुला लीजिए

3 Min Read

Lahad Mein Wo Soorat Dikhai Gai Hai / लहद में वो सूरत दिखाई गई है

2 Min Read

Lafz Khud Naat Ke Imkaan Mein Aa Jaate Hain / लफ़्ज़ ख़ुद नात के इम्कान में आ जाते हैं

2 Min Read

Muslim Life Pro App

Muslim Life Pro
Muslim Life Pro

Copyright @ 2025 Designed by Opera King Business | All rights reserved.

Social Networks

Facebook-f Instagram Youtube Rss