Teri Janab Ke Jaisi Koi Janab Nahin
tu laa jawaab hai tera koi jawaab nahin
nabi to aur haseen o jameel hain lekin
jo tujh men aab hai aisi kisi men aab nahin
bana ke husn-e-saraapa ye keh diya rab ne
tere shabaab ke aage koi shabaab nahi.ntumhaare zulf hai wallail, wadduha chehra
tumhaari mast nazar ka koi jawaab nahi.n
tumhaare noor se shams-o-qamar hue raushan
wo kaun hai jo tere dar se faizyaab nahi.n
KHuda ne toor pe moosa se lan-taraani kaha
kaha habeeb se, tum se koi hijaab nahi.n
huzoor ! jis ko diya tum ne be-hisaab diya
tumhaari den me.n, aaqa ! koi hisaab nahi.n
kahaa.n hai meri nazar un ki deed ke qaabil
wo mere dil me.n hai.n lekin nazar ko taab nahi.n
teri nazar ne mujhe kya se kya bana Daala
teri ‘inaayate.n itni hai.n ki hisaab nahi.n
unhe.n KHuda ne banaaya hai rahmat-e-‘aalam
jo un ke ho gae un ko koi ‘azaab nahi.n
wo jin ko haajat-e-jannat hai, ya KHuda ! de de
mera to un ke siwa koi intiKHaab nahi.n
tumhaare naqsh-e-qadam se jo haT gae hai.n wahi
hazaar sajde kare.n phir bhi kaamyaab nahi.n
jo dekh aae hai.n, E’jaaz ! gumbad-e-KHazra
mai.n kaise keh du.n ki dil un ke aaftaab nahi.n
तेरी जनाब के जैसी कोई जनाब नहीं
तू ला जवाब है तेरा कोई जवाब नहीं
नबी तो और हसीन ओ जमील हैं लेकिन
जो तुझ में आब है ऐसी किसी में आब नहीं
बना के हुस्न ए सरापा ये कह दिया रब ने
तेरे शबाब के आगे कोई शबाब नहीं
तुम्हारे ज़ुल्फ़ है वल्लैल वद्दुहा चेहरा
तुम्हारी मस्त नज़र का कोई जवाब नहीं
तुम्हारे नूर से शम्स ओ क़मर हुए रौशन
वो कौन है जो तेरे दर से फ़ैज़याब नहीं
ख़ुदा ने तूर पे मूसा से लन तरानी कहा
कहा हबीब से तुम से कोई हिजाब नहीं
हुज़ूर जिस को दिया तुम ने बे हिसाब दिया
तुम्हारी देन में आक़ा कोई हिसाब नहीं
कहाँ है मेरी नज़र उन की दीद के क़ाबिल
वो मेरे दिल में हैं लेकिन नज़र को ताब नहीं
तेरी नज़र ने मुझे क्या से क्या बना डाला
तेरी इनायतें इतनी हैं कि हिसाब नहीं
उन्हें ख़ुदा ने बनाया है रहमत ए आलम
जो उन के हो गए उन को कोई अज़ाब नहीं
वो जिन को हाजत ए जन्नत है या ख़ुदा दे दे
मेरा तो उन के सिवा कोई इंतिख़ाब नहीं
तुम्हारे नक़्श ए क़दम से जो हट गए हैं वही
हज़ार सज्दे करें फिर भी कामयाब नहीं
जो देख आए हैं ए जाज़ गुंबद ए ख़ज़रा
मैं कैसे कह दूँ कि दिल उन के आफ़ताब नहीं