Keh rahi hai chashme tar aa jaiye Akhtar Raza
Noori chehra phir humein dikhlaiye Akhtar Raza
Aapko aawaaz deta hai dayaare Sunniyat
Bazm e Haq ko aake phir chamkaiye Akhtar Raza
Aa jaiye Akhtar Raza
Waaris e ilm e Raza Tajushshari’a aap hain
Fakhr e Azhar aap hain mehmaan e Kaaba aap hain
Ahl e eeman par karam farmaaiye Akhtar Raza
Aa jaiye Akhtar Raza
Hamidon Jeelaniyon Noori aur Raza ke laadle
Deejiye murshid humein ta meer e Haq ke walwale
Aur phir se ab tashreef hum mein laaiye Akhtar Raza
Aa jaiye Akhtar Raza
Aapki furqat mein rote hain dil o jaan o jigar
Aashiqon ki zindagi hai chaand ke ashkon se tar
Yoon na deewanon ko ab tadpaaiye Akhtar Raza
Aa jaiye Akhtar Raza
Naat Khaan: Mohammad Ali Faizi
कह रही है चश्मे तर आ जाइए अख्तर रजा
नूरी चेहरा फिर हमे दिखलाइए अख्तर रजा
आपको आवाज देता है दयारे सुन्नियत
बज्मे हक को आके फिर चमकाइए अख्तर रजा आ जाइए अख्तर रजा
वारिसे इल्मे रजा ताजुश्शरिया आप है
फखरे अजहर आप है मेहमाने काबा आप है
अहले ईमा पर करम फरमाइए अख्तर रजा
आ जाइए अख्तर रजा
हामीदों जीलानियों नूरी और रजा के लाडले
दीजिए मुर्शीद हमे तामीर ऐ हक के वलवले
और फिर से अब तशरीफ़ हम में लाइए अख्तर रजा आ जाइए अख्तर रजा
आपकी फुरकत में रोते है दिलो जानो जिगर
आशिकों की जिंदगी है चांद के अश्क़ो से
तर
यू ना दीवानों को अब तड़पाइए अख्तर रजा आ जाइए अख्तर रजा
नात खान
मोहम्मद अली फैजी