Tu Wilayat e Jahan Ka Hai Imam Ghaus e Azam
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
rag-e-jaa.n me.n tairta hai tera naam, Gaus-e-aa’zam !
tere ‘ishq ne diya hai ye maqaam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
mile aap ki nazar ka koi jaam, Gaus-e-aa’zam !
isi aarzoo me.n hai.n sab ye Gulaam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
jise chaahe jo nawaaze, ki ye iKHtiyaar-e-kaamil
mere rab ne likh diya hai tera naam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
Gam-e-dahr se chhu.Da kar Gam-e-mo’tabar ‘ata kar
ki hai jazba-e-mohabbat abhi KHaam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
mujhe ‘ishq wo ‘ata kar ki nigaah-e-dil jhuka kar
tujhe sub.h-o-shaam bheju.n mai.n salaam, Gaus-e-aa’zam !
tu wilaayat-e-jahaa.n ka hai imaam, Gaus-e-aa’zam !
hai zamee.n se aasmaa.n tak tera naam, Gaus-e-aa’zam !
ye Adeeb tishna-lab hai, mai-e-‘ishq ki talab hai
tere haath me.n kade ka hai nizaam, Gaus-e-aa’zam !