dilo.n se gam mitaata hai muhammad naam aisa hai nagar ujade basaata hai muhammad naam aisa hai unhi.n ke naam se paayi fakiro.n ne shahenshahi KHuda se bhi milaata hai, muhammad naam aisa hai unhi.n ke zikr se roshan, rute.n fir laut aati he.n nasibo.n ko jagaata hai muhammad naam aisa hai