dilo.n se gam mitaata hai muhammad naam aisa hai nagar ujade basaata hai muhammad naam aisa hai unhi.n ke naam se paayi fakiro.n ne shahenshahi KHuda se bhi milaata hai, muhammad naam aisa hai unhi.n ke zikr se roshan, rute.n fir laut aati he.n nasibo.n ko jagaata hai muhammad naam aisa hai
Apne Malik ka Main Naam lekar Bazm ki Ibtida kar raha hun Ya Khuda Aabru rakh Meri Tu Teri Hamdo Sana kar raha hun Tu Jo chahe to ban jaye Kismat Mere Sajdon ki kya hai hakikat Teri Chokhat pe Sar ko jhuka kar Farz Apna ada kar raha hun Apne Malik ka Main Naam lekar Bazm ki Ibtida kar raha hun