Baraah Rabiul Awwal ke Din Abre Baharaan chhaae
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Aamena Tere Ghar aa kar Jibreel payaam Yeh laaye
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Door hua Duniya se andheraa, Aaye Aaqa hua Saweraa
Abdullah ke Ghar Aangan, Khusiyon ke Baadal chhaye
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Sookhi thin Gulshan mein kaliyaan Sooni thin Makke ki Galiyaan
Unke Qadam se chaaron jaanib Ho gaye Noor ke saaye
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Jo hai sab Nabiyon ke Rehbar, Saare Masiha, Khalq ke Rahbar
Jholi bharna kaam hai Jinka Aaj Woh Daata aae
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Mushkil Teri tal jaayegi, Sookki kheti phal jayegi
Daaee Halima Tere soye Bhaag jagane aae
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
Mujh ko milaa paigam Yeh MOHSIN Duniya ko batla de MOHSIN
Jo hai nabi ka chaahne waala Apne ghar ko sajaae
Mere Sarkar aaye Mere Sarkar aaye
हिंदी(HINDI):
बारह रबीउल अव्वल के दिन अब्रे बहारां छाए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
आमेना तेरे घर आ कर जिब्रील पयाम ये लाए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
दूर हुआ दुनिया से अँधेरा , आये आक़ा हुआ सवेरा
अब्दुल्लाह के घर आँगन खुशियों के बादल छाए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
सूखी थीं गुलशन में कलियाँ, सुनी थीं मक्के की गलियां
उनके क़दम से चारों जानिब हो गए नूर के साये
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
जो है सब नबियों के रहबर, सारे मसीहा, खल्क के रहबर
झोली भरना काम है जिनका , आज वो दाता आए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
मुश्किल तेरी ताल जायेगी, सुखी खेती फल जाएगी
दाई हलीमा तेरे सोये भाग जगाने आए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए
मुज को मिला पैगाम ये मोहसिन, दुनिया को बतलादे मोहसिन
जो है नबी का चाहने वाला, अपने घर को सजाए
मेरे सरकार आए मेरे सरकार आए