Musalmano Sambhal jaao Ye duniya jaane vaali hai
Gunahon se karo tauba Kayamat aane vali hai
Roshan karo dilo ko Mahobbat ke noor se
Tum ko sukun milega Kana'at ke noor se
Peshani jagmagaegi Izzat ke noor se
Mit jaega andhera Sharafat ke noor se
Ye gumrahi ye be deeni Musibat dhane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Shaitan ke kareeb ho Yazdaan se door ho
Ho mubtila gunahon me Imaa se door ho
Insaniyat se door ho Insaa se door ho
Had hai ke tum Hadees se quraa se door ho
Yahi doori Tumhe dozakh Talak le jaane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
TV dekhne hi se fursat nahi tumhe
Goya namaz o roza ki hajat nahi tumhe
Ab nekiyon ki koi zaroorat nahi tumhe
Allah aur rasool ki chahat nahi tumhe
Gata tum par falak se aag ab barsane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Duniya ki ye khvahish tumhe barbad karegi
Be dag hi karti hai ye be daag karegi
Kanoone khuda se tumhe azad karegi
Firon karegi kabhi shaddad karegi
Tumhari har Ada duniya se dhokha khane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Pehle tumhi ne chodi hai tazim deen ki
Dete nahi ho bacho ko talim deen ki
Kese karenge baati e taslim deen ki
Kya kar sakenge izzato takrim deen ki
Tumhari be izzy is nasal ko behkane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Ki tumne jo gaflat ye usi ka hai natija
Ankhon ko zara khol ke ab dekho tamasha
Fir sochna kis mod pe le aayi hai duniya
Aajaega mathe pe nadamat ka pasina
Nai tasveer ab kudrat hame dikhlane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Ab baap ko bhi baap samajte nahi hai log
Izzat bhi apne maao ki karte nahi hai log
Hak bhai aur behno ka dete nahi hai log
Bhukhe padosiyon ko khilate nahi hai log
Na jane aur kya duniya hame dikhlane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Be parda apne ghar se nikalti hai auraten
Dikhati hai adaein machalti hai auratein
Sache me be hayai ke dhalti hai auratein
Mardon ko chhedti hui chalti hai auratein
Ye Be sharmi ye na samji Balaen lane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Yu ho gai hai kapdon se bezaar ladkiya
Jalvo se ab sajati hai bazar ladkiyan
Karne lagi hai pyar ka vyapar ladkiyan
Ye teer ladkiyan hai talvar ladkiyan
Javani ki ye nadani jahannam pane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Ab nachti hai betiyan baapo ke samne
Kuriyaniyat dikhlati hai logo ke samne
Duniya khadi hui hai balaon ke samne
Manzar ajib hai ye nigahon ke samne
Hui har cheez bazari vafa mit jane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Pachhim esi aai hava apne desh mai
Faili hai nange pan ki hava apne desh mai
Landan ki dekh lijiye ada apne desh mai
Peris ka aa raha hai apne desh mai
Nai tehzeeb ghar me ye burai lane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Feshan ke shok ne hai kiya is kadar kharab
Milti nahi hai ghar me koi mazhabi kitab
Gano ki dhun pe nachta rehta hai ab shabab
Tv har ek ghar ke liye ban gai azab
Ye jobhi roshni hai deen ko kha jane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai
Har dil me burai hai har ek ghar me burai
Ankhon me badi chhai hai aur ankho me burai
Bhai me burai hai biradar me burai
Ghar karne lagi hai dil e kaisar me burai
Nasihat ye tumhari rooh ko tadpane vali hai
Gunahon se karo tauba
Kayamat aane vali hai