roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
unche uncho.n ke saro.n se qadam aala tera
sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
auliya malte he.n aankhe.n wo hai talwa tera
peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
kya dabe jispe himaayat ka ho panja tera
sher ko khatre me.n laata nahi.n kutta tera
peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
kasme.n de de ke khilaata hai pilaata hai tuje
pyaara allah tera chaahne waala tera
peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
tujse dar, dar se sag, aur sag se hai mujhko nisbat
meri gardan me.n bhi hai door ka dora tera
peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
is nishaani ke jo sag he.n nahi.n maare jaate
hashr tak mere gale me.n rahe patta tera
peeraane-peer , mere shaah-e-jilaani
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
chal likha laaye.n sana-khwano.n me.n chahera tera
roshan-zameer mere shaah-e-jilaani
पीराने पीर मेरे शाह-ए-जीलानी
ऊँचे ऊँचों के सरों से क़दम आला तेरा
औलिया मलते हैं आँखें वो है तलवा तेरा
चल लिखा लाएं सना-ख्वानों में चहेरा तेरा