Ramzaan hai Allah ki qurbat ka Mahina
Jismaani-o-Rohaani Ibaadat ka Mahina.
Ramzaan, Ramzaan, Ramadan, Ramdan, Ramdhan
Ramzan hai Islam ki azmat ki nishani
Ramzan hai Allah ki qurbat ki nishani
Rozay ka silah deta hai khud Khaliq e Akbar
Sa’im kay liye roza hai jannat ki nishani
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka mahena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
Ho jata hai Shitan bhi paband e salasil
Hai jurm o khata say yeh bara’at ki nishani
Ik khas sila milta hai har achay amal ka
Yeh mah hai Rehman ki rehmat ki nishani.
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
Ik raat kay hai barah mahinoon say bhi afzal
Yani hai Shab e Qadr bhi azmat ki nishani
Ho jati hai paida dil e Muslim mein akhuwat
Ramzan to hai mehr o muhabbat ki nishani.
Ramzan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.