Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Ek katra nahin Tauheed ke pyase ke liye
Band hai naher Muhammad ke nawase ke liye
Khune Shabbir se mehnga hua bartar pani
Kaun de Aabide Bimar ko la kar pani
Sakee-e-Kausar o Tasneem hai jiska nana
Karbala mein hai wahi Teen dinon ka pyasa
Badla Laeen Tune kis jurm ka liya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Mashk thame hue Abbas Alamdar chale
Naher ki simt wo pani ke talabgar chale
Lashkare Shimr ne ki Teeron ki barish itni
Ho gaye Hazrate Abbas ke bazu chhalli
Ae sitamgar tera is par bhi kaleja na hila
Haae Nanhi si Sakina ko bhi pani na diya
Ye charkh kya karega sitam tune jo kiya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Pyas bete ki jo dekhi to hua dil be-chain
Aaye Asgar ko uthaye hue godi mein Husain
Haae zulm ke paani teri ye be-rehmi
Kar diya teer se nanha sa kaleja zakhmi
Zulm kitna bada ek tifl pe toda tune
Dudh pite hue bache ko na chhoda tune
Nanhin si jaan par bhi na tune reham kiya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai