islamic search

Hajiyon Mustafa se keh dena / हाजियों मुस्तफा से कह देना

kamli wale ka naam le le kar
be-sahaare salaam karte he.n
hajiyo.n ! Mustafa se keh dena
gham ke maare salaam karte he.n

Allah ! Allah ! Huzoor ki baate.n
marhaba ! rang-o-noor ki baate.n
chaand jinki balaae.n leta hai
aur sitaare salam karte he.n

zaa.ir-e-taiba tu madine me.n
mere aaqa se itna keh dena
pyaare aaqa Rasool sun lijiye
gham ke maare salam karte hein

aye payaami ! meri qasam hai tuje
'arz karna rasool-e-akram se
qalb-e-muztar ko hai huzoor tadap
aur saare salam karte hein

sabz-gumbad ka aankh mein manzar
aur tasawwur me.n aapka mimbar
saamne jaaliyaa.n he.n roze ki
aur zahen se salam karte hein

Allah ! Allah ! Huzoor ke gesoo
bhini bhini mahekti wo khushbu
jinse ma'moor hai fiza har soo
wo nazaare salam karte he.n

jalwa-gaah-e-shah-e-anaam hai
unke roze ka aheteraam hai
ummati joom joom kar tumko
Rab ke pyaare salam karte hein

jab Muhammad ka naam aata hai
rahmato.n ka payam aata hai
lab hamare durood padte he.n
dil hamare salam karte he.n

zikr tha aakhari mahine ka
chhid gaya tazkira madine ka
sabz gumbad ko aaj bhi anwar
chand taare salam karte hein

teri furqat me.n be-qaraar hai Jo
hijr-e-taiba me.n dil-figaar hai Jo
wo talabgaar bhi ro ro kar
aye meri jaa.n ! salam karte he.n

aye Khuda ke Habeeb pyare Rasool !
ye hamara salam kijiye qubool
aaj mehfil me.n jitne haazir he.n
milke saare salam karte he.n  

 

कमली वाले का नाम ले ले कर
बे सहारे सलाम कहते हैं
हाजियों मुस्तफा से कह देना
गम के मारे सलाम करते हैं

अल्लाह अल्लाह हुज़ूर की बातें
मरहबा रंगो नूर की बातें
चाँद जिनकी बालाएं लेता है
और नज़ारे सलाम करते हैं

जाइरे तयबह तू मदीने में
मेरे आक़ा से इतना कह देना
प्यारे आक़ा रसूल सुन लीजिये
गम के मारे सलाम करते हैं

अये पयामि मेरी कसम है तुजे
अर्ज़ करना रसूले अकरम से
कल्बे मुज़्तर को है हुज़ूर तड़प
और सारे सलाम करते हैं

सब्ज़ गुम्बद का आँख में मंज़र
और तसव्वुर में आपका मिम्बर
सामने जालियां हैं रोज़े की
और ज़हन से सलाम करते हैं

अल्लाह अल्लाह हुज़ूर के गेसू
भीनी भीनी महेक्ति वो खुशबु
जिनसे मामूर है फ़िज़ा हर सू
वो नज़ारे सलाम करते हैं

जलवा गाहे शाही अनाम है
उनके रोज़े का एहतेराम है
उम्मती ज़ूम ज़ूम कर तुमको
रब के प्यारे सलाम करते हैं

जब मुहम्मद का नाम आता है
रहमतों का पयाम आता है
लैब हमारे दुरूद पड़ते हैं
दिल हमारे सलाम करते हैं

ज़िक्र था आखरी महीने का
छिड़ गया तज़किरा मदीने का
सब्ज़ गुम्बद को आज भी अनवर
चाँद तारे सलाम करते हैं

तेरी फुरकत में बेकरार है जो
हिज्रे तयबाह में दिलफ़िगार है जो
वो तलबगार भी रो रो कर
अये मेरी जां सलाम करते हैं

अये खुदा के हबीब प्यारे रसूल
ये हमारा सलाम कीजिये क़ुबूल
आज महफ़िल में जितने हाज़िर हैं
मिलके सारे सलाम करते हैं

@muslimlifepro__ on Instagram

digital tasbih | digital tasbih counter | digital tasbih counter offline | digital tasbih app | digital tasbih counter 2023 | hadith | hadith collection all in one | hadith app | hadith collection (all in one) | hadith in English | naat sharif | naat app | naat | naat collection | naat collection app | naat collection audio | naat collection hindi | naat ringtone | muslim community | muslim community app | muslim community radio | quran usa muslim community | 2mfm muslim community radio | quran | quran majeed | quranly | quran english | quran kareem | quran 15 lines | prayer times | prayer times azan | prayer times app | prayer times sri lanka | naat lyrics | naat lyrics in hindi | naat lyrics in english | naat lyrics in urdu | naat lyrics owais raza qadri | naat lyrics in english translation | naat lyrics ala hazrat | naat lyrics in urdu translation | naat lyrics in urdu pdf download | naat lyrics in english writing | naat lyrics hindi | naat lyrics urdu | new naat lyrics in urdu | best naat lyrics in urdu | best naat lyrics in hindi | beautiful english naat lyrics | new naat lyrics in english | salam lyrics | Hajj | naat sharif lyrics