siddiq-e-akbar , siddiq-e-akbar
ya ameerul mo'mineen , ya ameerul mo'mineen
pahle sahaabi , mere siddiq hei.n
pahle khallifa , mere Siddiq hei.n
bilaal ko ghulaami se aazad karaaye
imaamat-e-'ali, 'umar, 'usmaan karaaye
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula
rasool-e-paak ki chaahat, abubakar siddiq
hei.n aap fakhr-e-KHilaafat, abubakar siddiq
siddiq maula mere, siddiq maula
nabi ke ba'ad jo afzal hei.n saare aa'lam mei.n
wahi hai shan-e-sadaaqat, abubakar siddiq
pahla madadgaar , pahla sahaabi
nabi ne jise har qadam pe dua di
wo jaan-e-sadaaqat, wo jaan-e-wafa hai
firishte usi ki adaao.n pe aashiq
usi ki namazei.n, duaao.n pe aashiq
sahaabi ho aisa imaamo.n se aa'la
muhammad se har dam wafa karne waala
wo siddiq-e-akbar ke jiska laqab hai
wo pahla KHalifa, wo pahla 'arab hai
bashar ki sadaaqat ka mai.n yaar thehra
sadaaqat ka uncha wo minaar thehra
chataano.n se mazboot uska qadam tha
wo chalta hua ek baab-e-haram tha
wo saara tha taalim-e-quraan jaisa
KHuda ka ka ek ek wo farmaan jaisa
KHuda unse raazi hua wo KHuda se
kaha khudse aameen uski dua pe
zamee.n pe wo 'arshe bari dekhta hai
wo sabse niraala, wo sabse juda hai
dua ke liye wo agar lab hila de
KHuda uspe apne khazaane luta de
wohi saani hasnain ka hai mukhaatab
usi ke liye hai bade sab maraatib
wo siddiq-e-akbar ke jiska laqab hai
wo pahla KHalifa, wo pahl 'arab hai
jab bhi KHuda se dua maangta hai
wo apne liye mustafa maangta hai
meri jaan qurbaan jaan-e-wafa pe
mai.n raazi, wo raazi ho uski riza pe
meri jaan jaan-e-wafa ke liye hai
mera har lafaz mustafa ke liye hai
mai.n so baar lotu.n mai.n so baar aau.n
mai.n qurbaan jaau.n, mai.n qurbaan jaau.n
kya khub pyaari hei.n uski duaaei.n
gunaaho.n se mahfooz uski 'adaaei.n
wo pahla mujaahid, wo pahla hai ghaazi
wo pahla KHalifa, wo pahla namaazi
zamee.n pe charaag-e-wafa banke aaya
habeeb-e-habeeb-e-KHuda banke aaya
tera saani paida hua hai na hoga
koi mard aisa hua hai na hoga
wo siddiq-e-akbar ke jiska laqab hai
wo pahla KHalifa, wo pahla 'arab hai
sadaaqat ka paikar, samandar wafa ka
wo ghamkhwaar pahla, rasool-e-KHuda ka
nabi se wo nazrei.n hataata nahi.n hai
jahaa.n par nabi hei.n, wo ab bhi wahi.n hai
wo imaan laane, bachaane mei.n pahla
wo baar-e-KHilaafat uthaane mei.n pahla
sadaaqat shujaa'at mei.n wo sabse aage
nabi ki itaa'at mei.n wo sabse aage
rasool-e-KHuda pe fida hone waala
wo jaan-e-wafa par fida hone waala
wo saare ka saara KHuda ke liye tha
wo zinda fakat mustafa ke liye tha
wo siddiq-e-akbar ke jiska laqab hai
wo pahla KHalifa, wo pahla 'arab hai
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula
fakat bashar hi nahi.n 'arsh par firishte bhi
hei.n karte aapki 'izzat, abubakar siddiq
rasool-e-paak ki chaahat, abubakar siddiq
hei.n aap fakhr-e-KHilaafat, abubakar siddiq
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula
'ali ka ho nahi.n sakta wo roz-e-mahshar tak
jo rakkhe tujhse 'adaawat, abubakar siddiq
mustafa ke dilbar-o-dildaar bhi siddiq hei.n
jaa.n-nisaar aise ke yaar-e-ghaar bhi siddiq hei.n
dushman-e-dee.n ke liye talwaar bhi siddiq hei.n
hifz-e-dee.n ki aahni deewar bhi siddiq hei.n
siddiq maula mere, siddiq maula
awwal bhi tu hai maula ! afzal bhi tu hai maula !
umar ne keh diya, abubakar abubakar
usmaan ki sada, abubakar abubakar
haidar ne naara lagaaya, abubakar abubakar
nabi ke paas jo soye hue hei.n raahat se
wohi hei.n saahib-e-'izzat, abubakar siddiq
rasool-e-paak ki chaahat, abubakar siddiq
hei.n aap fakhr-e-KHilaafat, abubakar siddiq
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula
mukhaalifeen tadapte rahenge yunhi tere
na hogi kam teri shohrat, abubakar siddiq
mustafa ke dilbar-o-dildaar bhi siddiq hei.n
jaa.n-nisaar aise ke yaar-e-ghaar bhi siddiq hei.n
dushman-e-dee.n ke liye talwaar bhi siddiq hei.n
hifz-e-deen ki aahni deewaar bhi siddiq hei.n
siddiq maula mere, siddiq maula
sahaabiyo.n ki jamaa'at ke peshwa hei.n aap
sabhi ko tujhse hai ulfat, abubakar siddiq
rasool-e-paak ki chaahat, abubakar siddiq
hei.n aap fakhr-e-KHilaafat, abubakar siddiq
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula
qayaam roz-e-jaza ham ko bakhshwa lenge
rafik-e-maalik-e-jannat, abubakar siddiq
rasool-e-paak ki chaahat, abubakar siddiq
hei.n aap fakhr-e-KHilaafat, abubakar siddiq
siddiq maula mere, siddiq maula
siddiq maula mere, siddiq maula