bade hazrat ki baargaah chalo
noor-e-kausar ke sath mil kar chalo
wah ! kya martaba aye ghaus ! hai baala tera
unche uncho.n ke saro.n se qadam aala tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
auliya malte he.n aankhe.n wo hai talwa tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
kya dabe jispe himaayat ka ho panja tera
sher ko khatre me.n laata nahi.n kutta tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
kasme.n de de ke khilaata hai pilaata hai tuje
pyaara allah tera chaahne waala tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
jisne dekha meri jaa.n jalwaa-e-zaiba tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
ibn-e-zahra ko mubaarak ho aroose qudrat
qadri paaye tasadduq mere dulha tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
kyu.n na qaasim ho ke tu ibne abil qaasim hai
kyu.n na qaadir ho ke mukhtar hai baaba tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
nabwi mi , alavi fasl , batuli gulshan
hasani phool , hussaini hai mahekna tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
nabawi dil , alawi burj , batuli badan
hasani chaand , hussaini hai ujaala tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
mujko ruswa bhi agar koi kahega to yunhi.n
ke wohi naam raza banda-e-ruswa tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze
fakhr-e-aaqa me.n raza aur bhi ek nazme rafeek
chal likha laaye.n sana-khwano.n me.n chahera tera
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze