ab tangi-e-daamaa.n pe na ja aur bhi kuchh maang
he.n aaj wo ma.il ba-'ata aur bhi kuchh maang
har-chand ke aaqa ne bhara hai tera kashkol
kam-zarf na ban haath bada Aur bhi kuchh maang
sultaan-e-madina ki ziyaarat ki du'aa kar
jannat ki talab chiz hai kya, aur bhi kuchh maang
maana ke isi dar se ghani hoke utha hai
fir bhi dar-e-sarkar pe ja aur bhi kuchh maang
jin logo.n ko ye shaq hai karam unka hai mahdood
un logo.n ki baato.n pe na jaa aur bhi kuchh maang
de sakte he.n kya kuchh ke wo kuchh de nahi.n sakte
ye bahes na kar, hosh me.n aa, aur bhi kuchh maang
us dar pe ye anjaam hua husn-e-talab ka
joli meri bhar bhar ke kaha, aur bhi kuchh maang
pahuncha hai jo is dar pe tu reh-reh ke naseer aaj
aawaaz pe aawaaz laga aur bhi kuchh maang