rutba ye wilaayat me.n , kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyo.n ka , sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par , hasnain ka saaya hai mere gaus ne thokar mei.n , murdo.n ko jilaaya hai
laakho.n ne usi dar se , taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki , har baat niraali hai doobi hui kashti bhi , dariya se nikaali hai ye naam adab se lo , ye naam jhalaali hai
har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labo.n par tum , fariyaad chale jaao milna hai agar tumko , waliyo.n ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo , baghdaad chale jaao
ya ghaus ! karam kardo , ya ghaus ! karam kardo ye deen ki daulat se , daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai , bas ek nazar kar do baghdaad ki galiyo.n mei.n , chhota sa mujhe ghar do
milne ko sham' se ye , parwaana tadapta hai qismat ke andhero.n mei.n , deewaana bhatakta hai ise ishq-e-haqeeqi mei.n , itna to asar aaye jab band karu.n aankhei.n , baghdaad nazar aaye