Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Ramzan ka mahina Rahmat luta raha hai
Har koi iski barkaton se faiz pa raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Sattar gunah bada hai farzon ka ajar isme
Naflon ka ajar farzon jaisa dila raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Ramazan ki barkaton se aabad masjiden hain
Har koi shok se ab masjid main aa raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Taqvaa ka dars hamko Ramzan de raha hai
Yu paak karke dil ko ujala bana raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Quraan ki sadaein ab gunjati hain har soo
Sunta hai koi quraan koi suna raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Hai chand roz ka hi mehmaan bhaiyon ye
Razi ise karo tum ye kab sada raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Iftar ka sama hai ronak lagi hai kesi
Chehra khushi se har ek ka jagmaga raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan
Sarkar ka faizaan tujpe jabhee musafir
Tera kalam dilon main halchal macha raha hai
Faizane Ramzan Ye Faizane Ramzan