Ya Husain ! Maula Husain !
Ya Husain ! Maula Husain !
Nabi ka Lakhte Jigar, Noore Ayen likh dena
Ali ka Laadla , Zahra ka chain likh dena
Kisi bhi daur mein mazloom ki himayat mein
Zameene Zulmo sitam par Husain likh dena
Fatima ki Dua ka Asar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Hai Gawaah Ispe Maidane Karbobala
Aa rahi hai Ye Taarikh se bhi Sada
Zer Gustakh hai Aur Zabar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Fatima ki Dua ka Asar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Maula Imaam Husain, Maula Imaam Husain
Maula Imaam Husain, Maula Imaam Husain
Ho bayaan kaise Fazlo Kamaale Husain
Har Jagaah hai Nabi ko Khayaale Husain
Hein Nabi Sajde mein Pusht par hein Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Fatima ki Dua ka Asar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Ibne Saado , Shimar ho ya Ibne Ziyaad
Ibne Haidar ke Dushman hein sab bad-nihaad
Mar gaye Saare , Zinda magar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Shaheed mar nahin sakta Husain Zinda hein
Nabi ki Aal ka Dulha Husain Zinda hein
Yazeed dafn hai Taabute Zulm mein ab bhi
Wafa ke baag mein Mera Husain Zinda hai
Inki Taazim karte hein Ashaab bhi
Ibne Abbas bhi , Ibne Khattab bhi
Bil Yakeen chaahte , Bu Bakar hein Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Fatima ki Dua ka Asar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Jisme At-har ka lete hein bosa kabhi
Phool Jannat ke kehte hein Wallah kabhi
Yaani Mehboobe Khaire Bashar hein Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Husain Tere Lahu se khila hai Gulshane Deen
Hamara Deen hai Zinda Husain Zinda hai
Jis Taraf Rann mein jaate hein Shere Ali
Waasile Naar hote hein Dushman sabhi
Kehro Bijli sadaa Kufr par hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Fatima ki Dua ka Asar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
Jiske Baaba ne Khaibar diya tha ukhaad
Isteqaamat ke hein Wo Aye Raagib! Pahaad
Sabr ke Baab mein Mo-atabar hai Husain
Haidari Sher hai Aur Nidar hai Husain
या हुसैन ! मौला हुसैन !
या हुसैन ! मौला हुसैन !
नबी का लख्ते जिगर, नूरे ऐयन लिख देना
अली का लाडला, ज़हरा का चैन लिख देना
किसी भी दौर में मज़लूम की हिमायत में
ज़मीने ज़ुल्मो सितम पर हुसैन लिख देना
फातिमा की दुआ का असर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
है गवाह इस्पे मैदाने कार्बोबला
आ रही है ये तारीख से भी सदा
ज़ेर गुस्ताख़ है और ज़बर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
फातिमा की दुआ का असर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
मौला इमाम हुसैन, मौला इमाम हुसैन
मौला इमाम हुसैन, मौला इमाम हुसैन
हो बयां कैसे फ़ज़्लो कमाल हुसैन
हर जगह है नबी को ख़याले हुसैन
हैं नबी सजदे में पुश्त पर हैं हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
फातिमा की दुआ का असर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
इब्ने सादो, शिमर हो, या इब्ने ज़ियाद
इब्ने हैदर के दुश्मन हैं सब बदनिहाद
मर गए सारे, ज़िंदा मगर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
शहीद मर नहीं सकता हुसैन ज़िंदा है
नबी की आल का दूल्हा हुसैन ज़िंदा है
यज़ीद दफन है ताबूते ज़ुल्म में अब भी
वफ़ा के बाग़ में मेरा हुसैन ज़िंदा है
इनकी ताज़ीम करते हैं असहाब भी
इब्ने अब्बास भी , इब्ने खत्ताब भी
बिल यकीं चाहते , बू बक्र हैं हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
फातिमा की दुआ का असर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
जिस्मे अतहर का लेते हैं बोसा कभी
फूल जन्नत के कहते हैं वल्लाह कभी
यानी महबूबे खैरे बशर हैं हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
हुसैन तेरे लहू से खिला है गुलशने दीं
हमारा दीन है ज़िंदा हुसैन ज़िंदा है
जिस तरफ रन्न में जाते हैं शेरे अली
वासिले नार होते हैं दुश्मन सभी
केहरो बिजली सदा कुफ्र पर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
फातिमा की दुआ का असर है हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन
जिसके बाबा ने खैबर दिया था उखाड़
इस्तेक़ामत के हैं वो ए रागिब! पहाड़
सब्र के बाग़ में मोअतबर हैं हुसैन
हैदरी शेर है और निडर है हुसैन