islamic search

इलाही तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ / Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon | Ilahi Teri Chokhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon

ilaahi ! teri chaukhaT par bhikaari ban ke aaya hu.n
saraapa faqr hu.n, 'ijz-o-nadaamat saath laaya hu.n

bhikaari wo ki jis ke paas jholi hai na pyaala hai
bhikaari wo jise hirs-o-hawas ne maar Daala hai

mata'-e-deen-o-daanish nafs ke haatho.n se luTwa kar
sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bheT cha.Dhwa kar

luTa kar saari poonji gaflat-o-'isyaa.n ke daldal me.n
sahaara lene aaya hu.n tere kaa'be ke aanchal me.n

gunaaho.n ki lipaT se kaainaat-e-qalb afsurda
iraade muzmahil, himmat shikasta, hausle murda

kahaa.n se laau.n taaqat dil ki sachchi tarjumaani ki
ki kis janjaal me.n guzri hai.n gha.Diya.n zindgaani ki

KHulaasa ye ki bas jal bhun ke pani roo-siyaahi se
saraapa faqr ban kar apni haalat ki tabaahi se

tere darbaar me.n laaya hu.n apni ab zabu.n-haali
teri chaukhaT ke laaiq har 'amal se haath hai.n KHaali

ye tera ghar hai, tere mehr ka darbaar hai, maula !
saraapa noor hai ik mahbat-e-anwaar hai, maula !

teri chaukhaT ke jo aadaab hai.n mai.n un se KHaali hu.n
nahi.n jis ko saleeqa maangne ka wo sawaali hu.n

zubaa.n Garq-e-nadaamat dil ki naaqis tarjumaani par
KHudaya ! rahm meri is zabaan-e-be-zabaani par

ye aankhe.n KHushk hai.n, ya rab ! inhe.n rona nahi.n aata
sulagte daaG hai.n dil me.n jinhe.n dhona nahi.n aata

ilaahi ! teri chaukhaT par bhikaari ban ke aaya hu.n
saraapa faqr hu.n, 'ijz-o-nadaamat saath laaya hu.n


Poet:

Mufti Muhammad Taqi Usmani

Naat-Khwaan:

Junaid Jamshed
Aqib Farid

 

इलाही ! तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ
सरापा फ़क़्र हूँ, 'इज्ज़-ओ-नदामत साथ लाया हूँ

भिकारी वो कि जिस के पास झोली है न प्याला है
भिकारी वो जिसे हिर्स-ओ-हवस ने मार डाला है

मता'-ए-दीन-ओ-दानिश नफ़्स के हाथों से लुटवा कर
सुकून-ए-क़ल्ब की दौलत हवस की भेट चढ़वा कर

लुटा कर सारी पूँजी ग़फ़लत-ओ-'इस्याँ के दलदल में
सहारा लेने आया हूँ तेरे का'बे के आँचल में

गुनाहों की लिपट से काइनात-ए-क़ल्ब अफ़सुर्दा
इरादे मुज़्महिल, हिम्मत शिकस्ता, हौसले मुर्दा

कहाँ से लाऊँ ताक़त दिल की सच्ची तर्जुमानी की
कि किस जंजाल में गुज़री हैं घड़ियाँ ज़िंदगानी की

ख़ुलासा ये कि बस जल भुन के अपनी रू-सियाही से
सरापा फ़क़्र बन कर अपनी हालत की तबाही से

तेरे दरबार में लाया हूँ अपनी अब ज़बूँ-हाली
तेरी चौखट के लाइक़ हर 'अमल से हाथ हैं ख़ाली

ये तेरा घर है, तेरे मेहर का दरबार है, मौला !
सरापा नूर है इक महबत-ए-अनवार है, मौला !

तेरी चौखट के जो आदाब हैं मैं उन से ख़ाली हूँ
नहीं जिस को सलीक़ा माँगने का वो सवाली हूँ

ज़ुबाँ ग़र्क़-ए-नदामत दिल की नाक़िस तर्जुमानी पर
ख़ुदाया ! रहम मेरी इस ज़बान-ए-बे-ज़बानी पर

ये आँखें ख़ुश्क हैं, या रब ! इन्हें रोना नहीं आता
सुलगते दाग़ हैं दिल में जिन्हें धोना नहीं आता

इलाही ! तेरी चौखट पर भिकारी बन के आया हूँ
सरापा फ़क़्र हूँ, 'इज्ज़-ओ-नदामत साथ लाया हूँ


शायर:

मुफ़्ती मुहम्मद तक़ी उस्मानी

ना'त-ख़्वाँ:

जुनैद जमशेद
आक़िब फ़रीद

@muslimlifepro__ on Instagram

digital tasbih | digital tasbih counter | digital tasbih counter offline | digital tasbih app | digital tasbih counter 2023 | hadith | hadith collection all in one | hadith app | hadith collection (all in one) | hadith in English | naat sharif | naat app | naat | naat collection | naat collection app | naat collection audio | naat collection hindi | naat ringtone | muslim community | muslim community app | muslim community radio | quran usa muslim community | 2mfm muslim community radio | quran | quran majeed | quranly | quran english | quran kareem | quran 15 lines | prayer times | prayer times azan | prayer times app | prayer times sri lanka | naat lyrics | naat lyrics in hindi | naat lyrics in english | naat lyrics in urdu | naat lyrics owais raza qadri | naat lyrics in english translation | naat lyrics ala hazrat | naat lyrics in urdu translation | naat lyrics in urdu pdf download | naat lyrics in english writing | naat lyrics hindi | naat lyrics urdu | new naat lyrics in urdu | best naat lyrics in urdu | best naat lyrics in hindi | beautiful english naat lyrics | new naat lyrics in english | salam lyrics | Hajj | naat sharif lyrics