jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
soch ki had se aage hai jis ka maqaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ka naana rasoolo.n ka sultaan hai
jis ka baaba 'ali kull-e-imaan hai
saari firdaus hai jis ke bachcho.n ke naam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
zikr jis ka muqaddas bahaaro.n me.n hai
noor jis ki nazar ka sitaaro.n me.n hai
chaand karta hai jis ki gali me.n qayaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke dukh me.n hai shaamil zameen-o-zamaa.n
yaad me.n jis ki rota hai saara jahaa.n
zikr karte hai.n jis ka gada sub.h-o-shaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jo shaheedo.n ka sayyad hai, sardaar hai
qafila-e-shujaa'at ka saalaar hai
jo hai, Farooqi ! sab momino.n ka imaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
Poet:
Sohail Kaleem Farooqi
Naat-Khwaan:
Umair Zubair Qadri
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
सोच की हद से आगे है जिस का मक़ाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस का नाना रसूलों का सुल्तान है
जिस का बाबा 'अली कुल्ल-ए-ईमान है
सारी फ़िरदौस है जिस के बच्चों के नाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
ज़िक्र जिस का मुक़द्दस बहारों में है
नूर जिस की नज़र का सितारों में है
चाँद करता है जिस की गली में क़याम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के दुख में है शामिल ज़मीन-ओ-ज़माँ
याद में जिस की रोता है सारा जहाँ
ज़िक्र करते हैं जिस का गदा सुब्ह-ओ-शाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जो शहीदों का सय्यद है, सरदार है
क़ाफ़िला-ए-शुजा'अत का सालार है
जो है, फ़ारूक़ी ! सब मोमिनों का इमाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी
नात-ख़्वाँ:
उमैर ज़ुबैर क़ादरी