Press ESC to close

Lab Par Naat e Paak ka Nagma

 

 

Lab Par Naat e Paak ka Nagma
Kal bhi Tha Aur Aaj bhi Hai
Mere nabi se mera rishta
Kal bhi Tha Aur Aaj bhi Hai

Aur kisi janib kyu jaae
Aur kisi ko kyu dekhe
Apna Sab kuchh gumbad e khazra
Kal bhi tha aur aaj bhi tha

Past vo kese ho sakta hai 
Jisko haq ne buland kiya
Dono jaha mai unka charcha
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Batla do gustakh e nabi ko
Gairat e muslim zinda ha
Deen pe mar mitne ka jazba
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Jiske faiz se bazar sino
Ne shadabi paai hai
Moj mai vo rehmat ka dariya
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Jin ankho se tayba dekha
Vo ankhe betab hai fir
In ankho mai ek takaza 
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Sab Ho aaye unke darse
Ja na saka tu ek sabi
Ye ke ek tasveer e tamanna 
Kal bhi tha aur aaj bhi hai

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

@muslimlifepro__ on Instagram