Husain Husain Mere Husain
Ya Husain Ya Husain
Ya Husain Ya Husain
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Husain Sabr ke Tere misaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Husain hukm dein Abbas ko to Unke liye
Furaat Mashq mein bharnaa kamaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Ye Shaane Ibne Ali hai ke Waqte Aakhir bhi
Bajuz Namaaz Labon par Sawaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Khudayaa khair ho Asghar ki Aaj Maidaan mein
Ke Noh-Nihaal ke Haathon mein dhaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Sada-e-Hurr hai Jo Ibne Ali ka ho jaae
Urooj Uske liye hai Zawaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Ye Manqabat to ataa Hubbe Panjatan ki hai
Aye Aqs Ismein Tumhara Kamaal koi nahin
Luta ke Deen pe sab kuchh malaal koi nahin
Husain Sabr ke Tere misaal koi nahin