sath hi munshi-e-rahmat ka qalam-daan gaya
le khabar jald ke gairo.n ki taraf dhyaan gaya
mere aaqa ! mere maula ! tere qurbaan gaya
haaye ! wo dil jo tere dar se pur-armaan gaya
dil hai wo dil , jo teri yaad se ma'moor raha
sar hai wo sar , jo tere qadmo.n pe qurbaan gaya
unhe.n jaana , unhe.n maana , na rakkha gair se kaam
lillahil hamd mai.n duniya se musalmaan gaya
aur tum par mere aaqa ki inaayat na sahi
najdiyo.n ! kalma padaane ka bhi ahesaan gaya
aaj le unki panaah , aaj madad mang unse
fir na maanenge , qayaamat me.n agar maan gaya
uff re ! munkir ye bada josh-e-ta'assub aakhir
bhid me.n hath se kambakht ke imaan gaya
jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to madine pahunche
tum nahi.n chalte raza , saara to saaman gaya