Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Har aah gayi arsh pe ye aah ki Qismat
Har ashq pe ek khuld hai Har ashq ki Qimat
Tohfa ye mila hai Muje Sardare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Shukre Khuda ke aaj gadi Us Safar ki hai
Jis par nisar jaan falaaho zafar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr ye to dekh azimat kidhar ki hai
Lut te hein maare jaate hein yun hi suna kiye
Har bar dee wo aman ke ghairat hazar ki hai
Hamko to Apne saaye mein aaram hi se laay
Heele bahane walon ko ye raah dar ki hai
Paigham saba layi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Maahe Madina Apni tajalli ata kare
Ye dhalti chandani to pahar do pahar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Is ke Tufayl Hajj bhi Khuda ne kara diye
Asle murad Hazari Us Paak Dar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Kaabe ka Naam tak na liya Taybah hi kaha
Puchha tha Hamse Jisne ke Nuhzat kidhar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Un par Durood Jinko Hajar tak karein salaam
Un par Salam Jinko Tahiyat Shajar ki hai
Un par Durood Jinko kase be kasan kahein
Un par Salam Jin ko khabar be khabar ki hai
Jinno bashar Salam ko Hazir hein Assalam
Ye bargaah Malike Jinno bashar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Shamso Qamar salam ko hazir hein Assalam
Khubi Inhi ki jot se Shamso Qamar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Sango Shajar salam to hazir hein Assalam
Kalme se tar zabaan Darakhto Hajar ki hai
Sab bahro bar Salam ko hazir hein assalam
Tamleek Unhin ke naam to har bahro bar ki hai
Arzo asar Salam ko hazir hein Assalam
Malja ye bargah Duao asar ki hai
Shoreeda sar salam ko hazir hein assalam
Rahat unhi ke qadmon mein shoreeda sar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Khasta jigar Salam ko hazir hein Assalam
Marham yahin ki khak toh khasta jigar ki hai
Sab khushko tar Salam ko hazir hein Assalam
Ye jalwa-gaah Malike har khushko tar ki hai
Sab Karro Far salam ko hazir hein Assalam
Tupi yahin to khak pe har karro far ki hai
Ye gard hi to surma sab ahle nazar ki hai
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Bhaati nahin hamdam Muje jannat ki jawani
Sunta nahin Zahid se mein hooron ki kahani
Ulfat hai Muje Saya-e-Deeware Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Ye pyari pyari kyari Tere khana-bag ki
Sard Iski aabo taab se aatash sakar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Jannat mein aa ke naar mein jata nahin koi
Shukre Khuda Naweed najato zafar ki hai
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Momin hun Mominon pe Raoofurr Rahim ho
Saeel hun Saeelon ko khushi la nahar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Jin Jin muradon ke liye ahbab ne kaha
Peshe khabir kya Muje hajat khabar ki hai
Aa kuchh suna de Ishk ke bolon mein Aye Raza
Mushtaq tab'a lazzate soze jigar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Bhini suhani sub'ha mein thandak jigar ki hai
Kaliyan khilin Dilon ki hawa ye kidhar ki hai
Khubti hui nazar mein ada kis saher ki hai
Chubhti hui jigar mein sada kis gajar ki hai
Dalein hari hari hein to balein bhari bhari
Kishte amal pari hai ye barish kidhar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Ham jayein aur kadam se lipat kar haram kahein
Sonpa Khuda ne Tujko ye azmat safar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Ham girde Kaba firte the kal tak aur Aaj wo
Ham par nisar hai ye iraadat kidhar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Kalak jabeen ki Sajda e Dar se chhuraoge
Mujko bhi le chalo ye tamanna hajar ki hai
Duba hua hai shok mein zamzam aur aankh se
Jaale baras rahe hein ye hasrat kidhar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Barsa ke jane walon ko gohar karun nisar
Abre karam se arz ye meezab e Zar ki hai
Aagoshe shok khole hein jinke liye hatim
Wo firke dekhte nahin ye dhun kidhar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Han han rahe Madina hai gaafil zara to jaag
Oh paaon rakhne wale ye jaa chasmo sar ki hai
Waarun qadam qadam pe ke har dam hai jaane nau
Ye raahe jaan fiza Mere Maula ke dar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Har aah gayi arsh pe ye aah ki qismat
Har ashk pe ek khuld hai har ashk ki kimat
Tohfa ye mila hai Muje Sarkare Nabi se
Gadiyan gini hein barson ki ye shubh gadi firi
Mar mar ke fir ye sil Mere sine se sar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Allah Akbar apne qadam aur ye khake paak
Hasrat Malaika ko jahan wazhe sar ki hai
Meraaz ka sama hai kahan pahunche zaeero
Kursi se unchi kursi isi paak ghar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Mehboob-e-Rabbe arsh hai Is sabz kubba mein
Pahelu mein jalwa gaah ateeko umar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Chhae malaika hein lagatar hai durud
Badle hein pahere badli mein barish durar ki hai
Sattar hazar sub-ha hein sattar hazar sham
Yun bandagi-e-zulfo rukh aathon paher ki hai
Jo ek baar aaye dobara na aayenge
Rukhsat hi bargah se bas is kadar ki hai
Tadpa kare badal ke fir aana kahan naseeb
Be hukm kab majal parinde ko par ki hai
Aye waa-- be kasi-e-tamanna ke ab ummid
Din ko na sham ki hai na shab ko sahar ki hai
Ye badliyaan na hon to karodon ki aas jaye
Aur baargah marhamate aam tar ki hai
Masoomon ko hai umar mein sirf ek baar baar
Aasee pade rahein to sala umar bhar ki hai
Zinda rahein to hazari-e-bargah naseeb
Mar jaayein to hayate abad aish ghar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Kyun taahdaron ! khwab mein dekhi kabhi ye sha'y
Jo aaj joliyon mein gadaayane dar ki hai
Taybah mein marke chale jaao aankhein band
Sidhi sadak ye shahare shafaat nagar ki hai
Aasee bhi hein chahite ye Taybah hai zahidon !
Makka nahin ke janch jahaan khayro shar ki hai
Kaaba hai beshak anjuman aara dulhan magar
Sari bahar dulhanon mein dulha ke ghar ki hai
Kaaba dulhan hai turbate at'har naee dulhan
Ye rashke aaftab wo ghairat qamar ki hai
Donon bani sajili anili bani magar
Jo pike paas hai wo suhagan kanwar ki hai
Aaya hai bulawa muje darbare nabi se
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Itna ajab bulandi-e-jannat pe kis liye
Dekha nahin ke bhikh ye kis unche ghar ki hai
Arshe baree pe kyun na ho firdos ka dimag
Utri hui shabeeha Tere baamo dar ki hai
Wo Khuld jisme utregi abraar ki baraat
Adna nichhawar Us Mere Dulha ke Sar ki hai
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Uf be-hayaeeyan ke ye munh aur Tere huzur
Haan Tu kareem hai teri khu darguzar ki hai
Tujse chhupaun munh to karun kis ke samne
Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai
Jaaun kahan pukarun kise kiska muh takun
Kya purshish aur jaa bhi sage be hunar ki hai
Sarkar ham ganwaron mein tarze adab kahan
Hamko to bas tameez yahi bhik bhar ki hai
Lab waayein aankhein band hein faily hein joliyan
Kitne maze ki bhik Tere paak dar ki hai
Mangenge mange jayeinge munh mangi payenge
Sarkar mein na "La" hai na hajat "agar" ki hai
Mangata ka hath uthte hi Data ki dayn thi
Doori kubulo araz mein bas hath bhar ki hai
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se
Jannat na dein , naad dein , Teri ru'yat ho khair se
Is gul ke aage kisko hawas bhargo bhar ki hai
Sharbat na dein , na dein, to kare baat lutf se
Ye shahad ho to fir kise parwah shakar ki hai
Sanki wo dekh baade shafa-at ke de hawa
Ye aabaroo Raza Tere Daamaane tar ki hai
Paigham saba laayi hai Gulzare Nabi se
Aaya hai bulawa Muje Darbare Nabi se