Qismat Meri chamkaeeye chamkaeeye Aaqa
Mujko bhi Dare Paak pe bulwaeeye Aaqa
Izne Tayba Mujhe Sarkar Madina dedo
Le chale Mujko Jo Tayba Wo Safina dedo
Qismat Meri chamkaeeye chamkaeeye Aaqa
Mujko bhi Dare Paak pe bulwaeeye Aaqa
Yahan reh ke Jeena hai Marne se badtar
Wahan Jaake Marna hai Jeene se Behtar
Is Qlbe Muztar ki hai Yahi Yehi Hajat
Wo Sultane Tayba Yumhari Gali hai
Ya Rasulallah......
Door reh kar na Dam Toot jaye kahin
Kash Tayba mein Aye Mere Mahe Mubeen
Dafn hone ko mil jaye Do gaz Zameen
Tum pe Har Dam Karodon Duroodo Salam
Mujko bhi Dare Paak pe bulwaeeye Aaqa
Seene mein ho Kaaba to Base Dil mein Madina
Aankhon mein Meri Aap Samajaeeye Aaqa
Bechain hun Betab hun Deedar ki Khatir
Lillah Mere Khwab mein Aa jaeeye Aaqa
Behre Deedar Mushtak hai Har Nazar
Donon Aalam ke Sarkar aa jaeeye
Chandani Raat hai Aur Pichhla Pahar
Donon Aalam ke Sarkar aa jaeeye
Mere Gulshan ko Ek baar Mahekaeeye
Apne Jalwon ki Barish mein nahelaeeye
Deeda-e-Shok ko kijiye barawar
Donon Aalam ke Sarkar aa jaeeye
Aakhari Waqt hai Tere Bimar ka
Buj na jaaye kahin Ye charage Sahar
Donon Aalam ke Sarkar aa jaeeye
Bada Chah hai wekhan da
Badi Hasrat hai Ziyarat di
Kitte wekhan to pela Mar na jawan
Ya Rasulallah..
Bechain hun Betab hun Deedar ki Khatir
Lillah Mere Khwab mein Aa jaeeye Aaqa