Allah ki marzi pe Jo Qurbaan hua hai
Shaan Usko mili Saahibe Imaan hua hai
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Qurbani ka Islam mein hai martaba Afzal
Qurbani se ho jaata hai Imaan mukammal
Aadam se Maseeha talak aaye jo Payambar
Qurbaniyaan dete rahe sab Naame Khuda par
Qurbani ka Paygaam Jahaan ko diya Sab ne
Ikraar kiya Azmate Qurbani ka Sabne
Qurbani se pura hua Iqraar wafaa ka
Qurbani se bandon ko mila qurb Khuda ka
Qurbani ko Imaan ka juz jaan lo Bando
Tum Dil se Har ek Hukme Khuda maan lo Bando
Sar Apna jukaate raho Paygaame Khuda par
Qurbani Dilo Jaan se do Naame Khuda par
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Quraan mein hai qurbani ki takmeel ka kissa
Ke Hazrate Ibrahimo Ismaeel ka kissa
The Hazrat Ibarhim bade Saahibe Azmat
Allah ne ata ki thi Unhein Shaane Risaalat
Nabiyon mein bade martabe wale the Baraahim
Karte the Sabhi Jinno Bashar Aap ki Taazim
Rabb ne Unhein Rehmat se Sarfaraaz kiya hai
Aur Unko Khalilullah ka Aejaab diya hai
Unke Siwa Ye Shaan kisi ne nahin paayi
Nasl Unse hi Allah ne Nabiyon ki Chalaai
Har Cheez luta dete the Wo Rabb ki Raza par
The Aap Dilo Jaan se Qurbaan Khuda par
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Quraan bayaan karta hai Ye Kissa-e-Azmat
Ek Shab di Unhein Khwaab mein Allah ne Bashaarat
Qurbani Mere Naam pe dedo Aye Baraahim
Ye hukm hai Mera Ise maano Aye Baraahim
Jab Sub-h ko bedaar hue Rabb ke Payambar
So Unton ko Qurbaan kiya Naame Khuda par
Fir Dusri Shab bhi Ye Basharat mili Unko
Allah ne Qurbani ki talkeen ki Unko
Takmeel Barahim ne ki Hukme Khuda ki
So Unton ko Qurban kiya Dusre Din bhi
Phir Tisri Shab bhi Ye Basharat mili Rabb se
Qurbani do Uski Jo Tumhein Pyara ho sabse
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Tab samja Khalilullah ne Maula ka Ishaara
Socha ke Ismail Muje Sabse hai Pyara
Allah ko manzoor hai Qurbani Usi ki
Puri Mein karunga Jo hai Allah ki marzi
Har Imtihaan Mein de dunga Isaaro Wafa ka
Maanunga Dilo Jaan se Mein Hukm Khuda ka
Bole Teri Marzi Mera Imaan hai Maula
Jo Tune diya Tujpe Wo Qurbaan hai Maula
Hat kar Teri Raahon se to Mein chal nahin sakta
Kuchh bhi ho magar hukm Tera tal nahin sakta
Bete ko Tere Naam pe Qurbaan karunga
Is tarha Mein aarasta Imaan karunga
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Phir Pyaar se Bete ko qareeb Apne bulaaya
Munh chuma Mahobbat se gale Apne lagaaya
Bole ke Muje Tum ho Dilo Jaan se Pyaare
Har Ek tamanna se Har armaan se Pyaare
Dil chaahe ke Mein Tumpe Dilo Jaan luta dun
Saanson mein basa dun Tumhein Aankhon mein jagaa dun
Rakkhu sada har haal mein masroor Mein Tumko
Ek pal bhi na nazron se karun door Mein Tumko
Lekin Ye gadi Imtehaan ki Mujpe hai bhaari
Maangi hai Mere Allah ne Qurbani Tumhari
Uljan mein hun Uljan Ye Meri Tumhi mita do
Kya Is mein Tumhari hai Raza Mujko bata do
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Ye Baat Ismail ne jab sun li Pidar ki
Ye kehne lage Jo Mere Allah ki marzi
Khush Jismein Mera Rabb hai Meri Usmein khushi hai
Ye Jaan to Mujko Mere Maula ne hi di hai
Kyun Jaan na Qurbaan karun Naame Khuda par
Naaz Ispe hai Mujko ke marun Naame Khuda par
Ye Zindagi Mujse Meri jab chaahe Khuda le
Ye Jiski Amaanat hai Usi ke hai hawaale
Allah ki marzi mein pasho pesh na kijiye
Qurbani Meri Naam pe Allah ke dijiye
Manzoor Dilo Jaan se hai Jo Hukme Khuda hai
Har Haal mein Sar Saamne Allah ke juka hai
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Ye Baat Khalilullah ne sun li Jo Pisar ki
To ho gaye himmat pe fida Noore Nazar ki
Fir Shukre Khuda karne lage Hath utha kar
Hone ko hai Qurbaan Pisar, Teri Raza par
Ye Tera hai Ahesn Karam Mujpe Tera hai
Bete ne Tere Hukm pe Labbayk kaha hai
Ye Hukm Tera maan ke raazi kiya Tujko
Sharminda Tere aage na hone diya Mujko
Hai Tujse guzaarish Yahi Meri Mere Allah
Qurbaani Tu maqbool kar Iski Mere Allah
Aulaad di Jo Tune Wo Tujpar hi fida hai
Ye Tera Karam Teri Inaayat hai ata hai
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Pahenaaye Naye Kapde mahobbat se Pisar ko
Aur le chale Maqtal ki taraf lakhte Jigar ko
Ye Jazba-e-Qurbani to Unka koi dekhe
Badte the Ismail Barahim se aage
Shaytaan ne behkaane ki koshish jo Unhein ki
Shaytaan pe Ismail ne laanat wahin bheji
Shaytaan ne Shahbaar ki behkaane ki koshish
Aayi na magar paae Ismail mein lagzish
Kankariyon se Shaytaan ko Wahin aap ne maara
Allah ke Bande ko tha Allah ka Sahaara
Badte rahe aage hi Wo Saabit Qadami se
Hone chale Allah pe Qurbaan khushi se
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Al-Kissa Pidar aur Pisar aan se pahunche
Qurbani ke markaz pe badi Shaan se pahunche
Is Azm pe the Donon ke hairaan Farishte
Allah ke huzur aaye pareshan Farishte
Ro Ro ke Farshton ne Guzarish ki Khuda se
Saaye mein Ismail ko le Faizo ata se
Insaanon ki Qurbani ki gar Rasm chalegi
Ya Rabb kahin duniya mein mahobbat na rahegi
Tu Aaj Ismail ki Qurbani jo lega
Har Saahibe Haq Beton ko Qurban karega
Ro Ro ke Ye kehte the Farishte to
Thin Maslehatein ez di aye Mominon kuchh aur
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Qurbaan yun Qurbaani ki Azmat pe the Donon
Raazi ba-Raza hukm Mashiyyat pe the Donon
Jab Bandagi Allah ki Donon ne ada ki
Qurbaani ki tayyari Barahim ne kar li
Fir tez chhuri karli Khalilullah ne bad ke
Bete ko litaaya wahin rassi se jakad ke
Tab bole Ismail guzaarish hai Ye Meri
Allah ke liye baandhie Aap Aankhon pe patti
Muj par Dame Qurbani kahin Pyaar na aaye
Ye Pidri Mahobbat hai kahin josh na khaae
Aankhon pe Khalilullah ne tab baandhli patti
Taamil Wo fir karne lage Hukme Khuda ki
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Kya Jazba-e-Qurbani tha Kya Dil tha Jigar tha
Sar dene ko Tayyar Payambar ka Pisar tha
Allah ka liya Naam ba-sad Ishqe Ilaahi
Fir Bete ki Gardan pe chhuri Baap ne Feri
Wo Ferte jaate the chhuri Naame Khuda se
Par kund chhuri ho gayi Maula ki Raza se
Bete pe na aanch aayi bahot zor lagaaya
Aese mein Ye Qudrat ka Karishma nazar aaya
Jibreele Ameen ko Wahaan Allah ne bheja
Saath Apne hi Jannat se le aaye the Wo Dumba
Dumbe ko Ismail ke badle mein litaaya
Aur Pyaare Ismail ko Maqtal se hataaya
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Ab ke Jo chhuri Hazrate Ibrahim ne feri
Chalne lagi aasani se Us Waqt chhuri bhi
Jis Waqt ki qurbaani Khalilullah ne puri
Aankhon se Payambar ne wahin khol di Patti
Jab Aapne dekha to Nazaara hi juda tha
Bsdle mein Ismail ke Ek Dumba pada tha
Ye dekh ke Manzar hue hairaan Baraahim
Jibreel ne ki bad ke wahin Aap ki Taazim
Jibreel ne pahuncha ke Salaam Unko Khuda ka
Wallah diya Fir Wo Payaam Unko Khuda ka
Hairaan na hon Aap Mashiyyat pe Khuda ki
Ab Shukr ada kijiye Rehmat pe Khuda ki
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Kar lijiye qubul Aap ye Allah ka Tohfa
Badle mein Ismail ke bheja hai Ye Dumba
Qurbaani Ismail ki maqbool ki Rabb ne
Aur Unko Zabiullah ki Azmat bhi di Rabb ne
Qurbaani pe Bete ki hue Aap jo raazi
To Aap se Raazi hua Khallake Jahaan bhi
Ye Aapka Eesaar Ye Qurbaani ka Jazba
Dekha to bahot Aap se khush ho gaya Maula
Shaan Aapki Ta-Hashr yunhi badti rahegi
Qurbani ki Ye rasm bhi Ta-Hashr chalegi
Di Rabb ne Barahimo Ismail ko Azmat
Aur rukn bani Hajj ka Ye Qurbani ki Sunnat
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
Is rasm ko zinda kiya fir sibte Nabi ne
Qurban kiya khud ko Husain Ibne Ali ne
Aye Mominon Ye Azmate Sultaane Shahidaan
Aulaad bhi qurbaan ki khud bhi hue qurbaan
Shabbir ne haq ke liye qurbani jo di hai
Eesaare Barahim ki takmeel hui hai
Sajde mein Jo gardan Shahe Karbal ke kata di
Qurbani Zabihullah ki fir yaad dila di
Beshak hein Payaam Aap Zabihullah ke waaris
Hein laadle Zahra ke Khalilullah ke waaris
Aye Mominon chalte raho Maula ki Raza par
Qurbani Sada dete raho Naame Khuda par
Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai
अल्लाह की मर्ज़ी पे जो क़ुर्बान हुआ है
शान उसको मिली साहिबे ईमान हुआ है
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
क़ुरबानी का इस्लाम में है मर्तबा अफ़ज़ल
क़ुरबानी से हो जाता है ईमान मुकम्मल
आदम से मसीहा तलक आये जो पयम्बर
क़ुर्बानियां देते रहे सब नाम खुदा पर
क़ुरबानी का पैगाम जहां को दिया सब ने
इकरार किया अज़मते क़ुरबानी का सब ने
क़ुरबानी का पूरा हुआ इकरार वफ़ा का
क़ुरबानी से बन्दों को मिला क़ुरब खुदा का
क़ुरबानी को ईमान का जुज़ जान लो बन्दों
तुम दिल से हर एक हुक्मे खुदा मान लो बन्दों
सर अपना जुकाते रहो पैगामे खुदा पर
क़ुरबानी दिलो जान से दो नामे खुदा पर
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
क़ुरआन में है क़ुरबानी की तकमील का किस्सा
के हज़रते इब्रहिमो इस्माइल का किस्सा
थे हज़रत इब्राहिम बड़े साहिबे अज़मत
अल्लाह ने अता की थी उन्हें शाने रिसालत
नबियों में बड़े मर्तबे वाले थे बराहीम
करते थे सभी जिन्नो बशर आप की ताज़ीम
रब्ब ने उन्हें रेहमत से सरफ़राज़ किया था
और उनको खलीलुल्लाह का ऐजाज़ दिया था
उनके सिवा ये शान किसी ने नहीं पायी
नस्ल उनसे ही अल्लाह ने नबियों की चलाई
हर चीज़ लुटा देते थे वो रब्ब की रज़ा पर
थे आप दिलो जान से क़ुर्बान खुदा पर
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
क़ुरआन बयां करता है ये किस्सा-इ-अज़मत
एक शब् दी उन्हें ख्वाब में अल्लाह ने बशारत
क़ुरबानी मेरे नाम पे देदो अये बराहीम
ये हुक्म है मेरा इसे मानो अये बराहीम
जब सुब्ह को बेदार हुए रब्ब के पयम्बर
सो ऊंटों को क़ुर्बान किया नामे खुदा पर
फिर दूसरी शब् भी ये बशारत मिली उनको
अल्लाह ने क़ुरबानी की तलकीन की उनको
तकमील बराहीम ने की हुक्मे खुदा की
सो ऊंटों को क़ुर्बान किया दुसरे दिन भी
फिर तीसरी शब् भी ये बशारत मिली रब्ब से
क़ुरबानी दो उसकी जो तुम्हें प्यारा हो सबसे
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
तब समजा खलीलुल्लाह ने मौला का इशारा
सोचा के इस्माइल मुझे सबसे है प्यारा
अल्लाह को मंज़ूर है क़ुरबानी उसी की
पूरी में करूँगा जो है अल्लाह की मर्ज़ी
हर इम्तेहान में दे दूंगा इसारो वफ़ा का
मानूंगा दिलो जान से में हुक्म खुदा का
बोले तेरी मर्ज़ी मेरा ईमान है मौला
जो तुने दिया तुजपे वो क़ुर्बान है मौला
हट कर तेरी राहों से तो में चल नहीं सकता
कुछ भी हो मगर हुक्म तेरा टल नहीं सकता
बेटे को तेरे नाम पे क़ुर्बान करूंगा
इस तरह में आरास्ता ईमान करूँगा
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
फिर प्यार से बेटे को करीब अपने बुलाया
मुंह चूमा महोब्बत से गले अपने लगाया
बोले के मुझे तुम हो दिलो जान से प्यारे
हर एक तमन्ना से हर अरमान से प्यारे
दिल चाहे के में तुमपे दिलो जान लुटा दूँ
साँसों में बसा दूँ तुम्हें आँखों में जगह दूँ
रक्खु सदा हर हाल में मसरूर में तुमको
एक पल भी न नज़रों से करूँ दूर में तुमको
लेकिन ये गाड़ी इम्तेहान की मुझपे है भारी
मांगी है मेरे अल्लाह ने क़ुरबानी तुम्हारी
उल्जन में हूँ उल्जन ये मेरी तुम्ही मिटा दो
क्या इसमें तुम्हारी है रज़ा मुझको बता दो
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
ये बात इस्माइल ने जब सुन ली पिदर की
ये कहने लगे जो मेरे अल्लाह की मर्ज़ी
खुश जिसमें मेरा रब्ब है मेरी उसमें ख़ुशी है
ये जान तो मुझको मेरे मौला ने ही दी है
क्यों जान न क़ुर्बान करूँ नामे खुदा पर
नाज़ इस्पे है मुझको के मरुँ नामे खुदा पर
ये ज़िन्दगी मुझसे मेरी जब चाहे खुदा ले
ये जिसकी अमानत है उसी के है हवाले
अल्लाह की मर्ज़ी में पसो पेश न कीजिये
क़ुरबानी मेरी नाम पे अल्लाह के दीजिये
माज़ूर दिलो जान से है जो हुक्मे खुदा है
हर हाल में सर सामने अल्लाह के जुका है
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
ये बात खलीलुल्लाह ने सुन ली जो पिसर की
तो हो गए हिम्मत पे फ़िदा नूरे नज़र की
फिर शुक्रे खुदा करने लगे हाथ उठा कर
होने को है क़ुर्बान पिसर तेरी रज़ा पर
ये तेरा है अहसान करम मुझपे तेरा है
बेटे ने तेरे हुक्म पे लब्बैक कहा है
ये हुक्म तेरा मान के राज़ी किया तुझको
शर्मिंदा तेरे आगे न होने दिया मुझको
है तुजसे गुज़ारिश यही मेरी मेरे अल्लाह
क़ुर्बानी तू मक़बूल कर इसकी मेरे अल्लाह
औलाद दी जो तुने वो तुझपर ही फ़िदा है
ये तेरा करम तेरी इनायत है अता है
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
पहनाये नए कपडे महोब्बत से पिसर को
और ले चले मकतल की तरफ लख्ते जिगर को
ये जज़्बा-इ-क़ुरबानी तो उनका कोई देखे
बढ़ते थे इस्माइल बराहीम से आगे
शैतान ने बहकाने की कोशिश जो उन्हें की
शैतान पे इस्माइल ने लानत वहीँ भेजी
शैतान ने शब्बार की बहकाने की कोशिश
आयी न मगर पा-इ-इस्माइल में लग़्ज़िश
कंकरियों से शैतान को वहीँ आप ने मारा
अल्लाह के बन्दे को था अल्लाह का सहारा
बढ़ते रहे आगे ही वो साबित क़दमी से
होने चले अल्लाह पे क़ुर्बान ख़ुशी से
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
अल-किस्सा पिसर और पिदर आन से पहुंचे
क़ुरबानी के मरकज़ पे बड़ी शान से पहुंचे
इस अज़्म पे थे दोनों के हैरान फ़रिश्ते
अल्लाह के हुज़ूर आये परेशान फ़रिश्ते
रो रो के फरिश्तों ने गुज़ारिश की खुदा से
साये में इस्माइल को ले फ़ैज़ा अता से
इंसानों की क़ुरबानी की गर रस्म चलेगी
या रब्ब कहीं दुनिया में महोब्बत न रहेगी
तु आज इस्माइल की क़ुरबानी जो लेगा
हर साहिबे हक़ बेटों को क़ुर्बान करेगा
रो रो के ये कहते थे फ़रिश्ते
थीं मस्लेहतें एज़ दीं अये मोमिनों कुछ और
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
क़ुर्बान यूँ क़ुर्बानी की अज़मत पे थे दोनों
राज़ी बा-रज़ा हुक्म मशिय्यत पे थे दोनों
जब बंदगी अल्लाह की दोनों ने अदा की
क़ुरबानी की तैयारी बराहीम ने कर ली
फिर तेज़ छुरी कर ली खलीलुल्लाह ने बड़ के
बेटे को लिटाया वहीँ रस्सी से जकड के
तब बोले इस्माइल गुज़ारिश है ये मेरी
अल्लाह के लिए बांधिए आप आँखों पे पट्टी
मुज पर दमे क़ुरबानी कहीं प्यार न आये
ये पिदृ महोब्बत है कहीं जोश न खाए
आँखों पे खलीलुल्लाह ने तब बांध ली पट्टी
तामील वो फिर करने लगे हुक्मे खुदा की
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
क्या जज़्बा-इ-क़ुरबानी था क्या दिल था क्या जिगर था
सर देने को तैयार पयम्बर का पिसर था
अल्लाह का लिया नाम बा-सद इश्क़े इलाही
फिर बेटे की गर्दन पे छुरी बाप ने फेरी
वो फेरते जाते थे छुरी नामे खुदा से
पर कुंद छुरी हो गयी मौला की रज़ा से
बेटे पे न आंच आयी बहोत ज़ोर लगाया
ऐसे में ये क़ुदरत का करिश्मा नज़र आया
जिब्रीले अमीन को वहाँ अल्लाह ने भेजा
साथ अपने ही जन्नत से ले आये थे वो दुम्बा
दुम्बे को इस्माइल के बदले में लिटाया
और प्यारे इस्माइल को मक़्तल से हटाया
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
अब के जो छुरी हज़रते इब्राहिम ने फेरी
चलने लगी आसानी से उस वक़्त छुरी भी
जिस वक़्त की क़ुरबानी खलीलुल्लाह ने पूरी
आँखों से पयम्बर ने वहीँ खोल दी पट्टी
जब आपने देखा तो नज़ारा ही जुदा था
बदले में इस्माइल के एक दुम्बा पड़ा था
ये देख के मंज़र हुए हैरान बराहीम
जिब्रील ने की बड़ के वहीँ आप की ताज़ीम
जिब्रील ने पहुंचा के सलाम उनको खुदा का
वल्लाह दिया फिर वो पयाम उनको खुदा का
हैरान न हों आप मशिय्यत पे खुदा की
अब शुक्र अदा कीजिये रेहमत पे खुदा की
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
कर लीजिये क़ुबूल आप ये अल्लाह का तोहफा
बदले में इस्माइल के भेजा है ये दुम्बा
क़ुरबानी इस्माइल की मक़बूल की रब्ब ने
और उनको जबीउल्लाह की अज़मत भी दी रब्ब ने
क़ुरबानी पे बेटे की हुए आप जो राज़ी
तो आप से राज़ी हुआ ख़ल्लाक़े जहां भी
ये आपका ईसार ये क़ुरबानी का जज़्बा
देखा तो बहोत आपसे खुश हो गया मौला
शान आपकी ता-हश्र यूँहीं बड़ती रहेगी
क़ुरबानी की ये रस्म भी ता-हश्र चलेगी
दी रब्ब ने बराहिमो इस्माइल को अज़मत
और रुक्न बानी हज का ये क़ुरबानी की सुन्नत
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है
इस रस्म को ज़िंदा किया फिर सिब्ते नबी ने
क़ुर्बान किया खुद को हुसैन इब्ने अली ने
अये मोमिनों ये अज़मते सुल्ताने शहीदां
औलाद भी क़ुर्बान की खुद भी हुए क़ुर्बान
शब्बीर ने हक़ के लिए क़ुरबानी जो दी है
ईसारे इब्राहिम की तकमील हुई है
सजदे में जो गर्दन शहे कर्बल के कटा दी
क़ुरबानी जबीउल्लाह की फिर याद दिला दी
बेशक हैं पयाम आप जबीउल्लाह के वारिस
हैं लाडले ज़हरा के खलीलुल्लाह के वारिस
अये मोमिनों चलते रहो मौला की रज़ा पर
क़ुरबानी सदा देते रहो नामे खुदा पर
क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है