Language:

Search

Rahe Jate Hein ye Armaan, Haye Mere Sine Mein / रहे जाते हैं ये अरमान, हाय मेरे सीने में

  • Share this:
Rahe Jate Hein ye Armaan, Haye Mere Sine Mein / रहे जाते हैं ये अरमान, हाय मेरे सीने में
 
Rahe jate hein ye armaan, haye Mere Sine mein
Na Kaabe ki zameen dekhi, na pahunchi Main Madine mein

Suna hai Noor ki barsat hoti hai Madine mein
Ilahi ! Ek chhinta aa lage Ham sab ke sine mein

Muhammad Is tarha tashrif farmaan hein Madine mein
Ke jaise Sura-e-Yaseen ho Quraan ke sine mein

Muhammad ki judaai aag bhadkati hai sine mein
Rawaan jab dekhti hun kaafile hajj ke mahine mein

Rahe jate hein ye arman haye Mere Sine mein
Na Kaabe ki zameen dekhi na pahunchi Main Madine mein


 
रहे जाते हैं ये अरमान, हाय मेरे सीने में
न काबे की ज़मीं देखी, न पहुंची मैं मदीने में
 
सुना है नूर की बरसात होती है मदीने में
इलाही ! एक छींटा आ लगे हम सब के सीने में
 
मुहम्मद इस तरह तशरीफ़ फ़रमाँ हैं मदीने में
के जैसे सूरा-ए-यासीन हो क़ुरआन के सीने में
 
मुहम्मद की जुदाई आग भड़काती है सीने में
रवां जब देखती हूँ काफिले हज के महीने में
 
रहे जाते हैं ये अरमान, हाय मेरे सीने में
न काबे की ज़मीं देखी, न पहुंची मैं मदीने में
Mohammad Wasim

Mohammad Wasim

KI MUHAMMAD ﷺ SE WAFA TU NE TO HUM TERE HAIN,YEH JAHAN CHEEZ HAI KYA, LAUH O QALAM TERE HAIN.

Muslim Life Pro App
Download
WhatsApp Group
Join Now