Press ESC to close

Taajdaare Madina ke jalway Jin ke Dil mein samaaye hue hein / ताजदारे मदीना के जलवे जिनके दिल में समाए हुए हैं

Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein
Door reh kar Wo pur ba-aashnaan hein
Dil Madina banaaye hue hein

Jinko Unki Tawajjoh ne Paala
Unki Rehmat ne Jinko nawaaza
Un gadaaon ka kya puchhte ho
Wo zamaane pe chhaaye hue hein

 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein

Mere Aaqa ki Jin par nazar hai
Donon Aalam ki Unko khabar hai
Jinka maqsood Unka hi Dar hai
Saare asraa Wo paaye hue hein
 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein

Aale At-har ka sadqa ataa ho
Mufleesi ka Hamaari bhala ho
Aye Sakhi Aap ke Dar pe Ham bhi
Daamane Dil bichhaaye hue hein
 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein

Tees Paaron mein jo kuchh likha hai
Sar ba Sar Seerate Mustafa hai
Unki Seerat mein jo dhal gaya hai
Us pe Rehmat ke saaye hue hein
 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein

Meri auqaat kuchh bhi nahin hai
Khud Meri Zaat kuchh bhi nahin hai
Mere Sarkaar ka Ye Karam hai
Baat Meri banaaye hue hein
 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein

Aarazu e Karam Dil mein le kar
Khaalid Un ke sakhi aastaan par
Angaliyaa Auliya Asfiya sab
Apne Kaase badhaae hue hein
 
Taajdaare Madina ke jalway
Jin ke Dil mein samaaye hue hein


ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं
दूर रह कर वो पुर-ब-आशनां हैं
दिल मदीना बनाये हुए हैं

जिनको उनकी तवज्जोह ने पाला
उनकी रेहमत ने जिनको नवाज़ा
उन गदाओं का क्या पूछते हो
वो ज़माने पे छाये हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

मेरे आक़ा की जिन पर नज़र है
दोनों आलम की उनको खबर है
जिनका मक़सूद उनका ही दर है
सारे आसरा वो पाए हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

आले अतहर का सदक़ा अता हो
मुफलिसी का हमारी भला हो
अये सखी आपके दर पे हम भी
दामने दिल बिछाए हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

तीस पारों में जो कुछ लिखा है
सर ब सर सीरते मुस्तफा है
उनकी सीरत में जो ढल गया है
उस पे रेहमत के साये हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

मेरी औक़ात कुछ भी नहीं है
खुद मेरी ज़ात कुछ भी नहीं है
मेरे सरकार का ये करम है
बात मेरी बनाये हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

आरज़ू-इ-करम दिल में ले कर
खालिद उनके सखी आस्तां पर
अंगलिया औलिया असफिया सब
अपने कासे बढ़ाये हुए हैं

ताजदारे मदीना के जलवे
जिनके दिल में समाए हुए हैं

 

 

@muslimlifepro__ on Instagram