noor-e-muhammad sallalallah , laailaha illalallah
tere sadke me.n aaqa ! sare jahaa.n ko deen mila
be-deeno.n ne kalma padha , laailaha illalallah
hasbi-rabbi , jallalallah , ma-fi qalbi gayrullah
noor-e-muhammad sallalallah , laailaha illalallah
gar ho nabi batlao zara , meri mutthi me.n hai kya ?
aaqa ka farman hua , aur fazl-e-rahman hua
mutthi se patthar bola , laailaha illalallah
hasbi-rabbi , jallalallah , ma-fi qalbi gayrullah
noor-e-muhammad sallalallah , laailaha illalallah
apni bahan se bole umar , ye to bata kya karti thi ?
mere aane se pahele , kya chupke chupke padhti thi ?
bahen ne jab quraan padha , sunke qalam-e-paak-e-KHuda
dil ye umar ka bol utha , laailaha illalallah
hasbi-rabbi , jallalallah , ma-fi qalbi gayrullah
noor-e-muhammad sallalallah , laailaha illalallah
wo jo bilal-e-habshi hai , sarwar-e-dee.n ka pyara hai
duniya ke har aashiq ki , aankho.n ka wo taara hai
zulm huye kitne un par , sine par rakkha patthar
fir bhi lab par jaari tha , laailaha illalallah
hasbi-rabbi , jallalallah , ma-fi qalbi gayrullah
noor-e-muhammad sallalallah , laailaha illalallah
mere nabi ke gulamo.n ka , rutba bada hai shan badi
chahe gaus-e-aa'zam ho , ya ke daata hujweri
yaad nahi.n tumhe.n wo manzar , khwaja ne jab khud chal kar
nawwe lakh ko padwaaya , laailaha illalallah