Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Kaise na Lab pe ho Tera Naam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulam
Mujhko Pilaa de Ishq ka Jaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Mere Nabi Mere Nabi Mere Nabi Mere Nabi
Rabb ke Dulaare Tum hi to ho
Jag se Niraale Tum hi to ho
Aaye Nabi Jitne Duniya mein
Unmein Pyaare Tum hi to ho
Bheje Khuda hai Tujko Salaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Kaise na Lab pe ho Tera Naam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Dooba Suraj Fir se Palte
Aur Shajar Aa Jaye Chalke
Judo Sakhaa ka Kya Kehnaa hai
Jo bhi gayaa Wo Layaa bhar ke
Allah hi Jaane Tera Makaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Mujhko Pilaa de Ishq ka Jaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Sidra pe Ja ke Pyaare Nabi se
Bulbule Sidra Bole Nabi se
Aage gaye to Jal Jayeinge
Aap Akele Jayein Yahan se
Arshe Bari pe hoga Qayaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Mujhko Pilaa de Ishq ka Jaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Mere Nabi Mere Nabi Mere Nabi Mere Nabi
Jab Ye bataate Hamko hein Padh kar
Hoti Khushi hai Baat Ye Sun kar
Naaz Karo Qismat pe Aye Dilbar !
Taybaa ke Ansaari ke Ghar par
Mehmaan bane hein Khairul Anaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Kaise na Lab pe ho Tera Naam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam
Mujhko Pilaa de Ishq ka Jaam
Tu Aaqa Aur Mein hun Ghulaam