Us Arab ke wali ki Kya shan nirali hai
Ek mein hi nahin sheyda Duniya bhi diwani hai
Behta Meri aankhon se har waqt jo pani hai
Wo Saqi-e-Kausar ki ek khas nishani hai
Aye baage saba le aa kuchh khak Madine ki
Surme ki tarha hame aankhon mein lagani hai
Is dard bhare dil ki chhoti si kahani hai
Jo Roza-e-Aqdas par khud jake sunani hai