Zahe mukaddar Huzure Haq se
Salam aaya Payam aaya
Jukao Nazrein bichhao palken
Adab ka ala makam aaya
Ye kaun sar se kafan lapete
Chala hai Ulfat ke Raste par
Farishte hairat se tak rahe hein
Ye Kaun Zi-Aheteram aaya
Faza mein labbaik ki sadayen
Za farsh ta arsh gunjati hein
Har Ek Kurbaan ho raha hai
Zaban pe ye Kis ka Naam aaya
Ye Rahe Haq hai sambhal ke chalna
Yahan hai Manzil Kadam Kadam par
Pahunchana Dar par to Kahena Aaqa
Salam lijiye Gulam aaya
Ye Kahena Aaqa bahot se Aashiq
Tadap te se chhod aaya hun Mein
Bulawe ke Muntazir hein lekin
Na Sub'ha aaya na Sham aaya
Dua jo nikli thi Dil se aakhir
Palat ke maqbool ho ke aayi
Wo Jazba Jismein tadap thi sachi
Wo Jazba akhir ko kaam aaya
Khuda Tera Hafizo Nigaheban
Oh rahe bat'ha ke jaane wale !
Naweed e sad Imbisat ban kar
Payame Darudo-salam aaya
Zahe mukaddar Huzur e Haq se
Salam aaya payam aaya
Jukao Nazrein bichhao palken
Adab ka ala makam aaya