Zikre Nabi jab ghar ghar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Dil mein Mere arman hai Madine ko Ham jayeinge
Apne Sare Khwabon ko Ham Aankhon mein Sajayeinge
Samne Roza-e-Anwar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Har Ambiya ko Unki Ummat pukaregi
Sunke bhi Wo bolenge Izhabu Ala Gayri
Ana Laha Labe Sarwar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Aa gaya Rabiul-Awwal Arz Shadmani hai
Mustafa ke aane ki bhi kya gadi Suhani hai
Ab Qalbe Insan Munawwar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Noori Kamli wale Aaqa se jise Mahobbat hai
Jannat milegi Usko Jo bhi ahle Sunnat hai
Hathon mein Unke hi Kausar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Aamade Rasool pe kyun na khushi manayein Ham
Kyun na Deen ka Parcham Galiyon mein Laherayein Ham
Charcha Unka hi Ghar Ghar hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga
Mangta bhi Unka Shakir kitna Zee-waqar hai
Kehti hai Duniya Sari Ye to Taajdar hai
Nalayn Unka jo Sar par hoga
Rehmat ka har soo Sagar hoga