Balaghal 'Ula Bi Kamalihi, Kasha Fadduja Bijamalihi
Hasunat Jami'u Khisaalihi Sallu 'Alayhi Wa Aalihi
Wo Kamaal-e-husn-e-huzoor Hay, Kay Gumaan-e-naqs Jahaan Naheen
Yay-hee Phool Khaar Say Duur Hay, Yay-hee Sham'a Hai Kay Dhu-aan Naheen
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi, Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi
Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi, Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi
Teyray Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay, Fu-saha A'rab Kay Barray Barray
Ko-ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen, Naheen Balkay Jism Mein Jaan Naheen
Ba Khuda Khuda Ka Yay-hee Hay Darr, Nahin Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho, Jo Yahaan Naheen Tou Wahan Naheen
Sar-e-'arsh Per Hai Teree Guzar, Dil-e-farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-mulk Mayn Ko-ee Shay, Naheen Wo Tujh Pay A'yaan Naheen
Karuun Tayray Naam Pay Jaan Fida, Na Bas Eyk Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahan Say Bhi Nahiin Ji Bhara, Karun Kya Karoron Jahan Nahiin
Sare La Makan Se Talab Hui, Sue Muntaha Wo Chale Nabi
Koi Hadd Hai Unke Urooj Ki, Balaghal 'Ula Bi Kamalihi
Wo Khuda Ke Noor Ko Dekh Karbhi, Jahaan Walon Me Agae
Sar-e-'arsh Jaana Kamaal Tha, Ke Waha Se Aana Kamaal Hai
Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kisi Ko Zabaan Nahi
Wo Sikhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Wo Bayaan Hain Jiska Bayaan Nahi
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan
Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi
Wahi Noor E Haq Wahi Jille Rab Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi
Wo-hee Noor-e-haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Naheen Unkee Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Naheen
Wo-hee Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-'arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hain Yay Makaan Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Naheen
Kare Mustafa Ki Ihaanatain Khule Bando Uss Pe Yein Jur’ate,
Ke Mein Kya Nahin Hoon Muhammadi? Arey Haan Nahin Arey Haan Nahin.
Woh Sharf Key Qat’a Hain Nisbatain Wo Karam Key Sab Sey Qareeb Hain,
Koi Keh Do Yaas-o-ummid Sey Wo Kaheen Nahin Wo Kahaan Nahin.
Yeh Nahin Key Khuld Na Ho Neko Wo Nekoi Ki Bhee Hay Aabroo,
Magar Aay Madinah Ki Aarzoo Jise Chahe To Wo Samaa(n) Nahin.
Tera Qad To Naadire Daher Hay Koi Misl Ho To Misaal Dey,
Nahin Gul Key Paudo Mein Daaliya Key Chaman Mein Saro Chamaa Nahin.
Nahin Jis Key Rang Ka Dusra Na To Ho Koi Na Kabhi Huwa,
Kaho Us Ko Gul Kahe Kiya Koi Key Gulo Ka Dher Kahaa Nahin.
Karoon Madhay Ahle-e-doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-naan Naheen