Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Roshni konain mein hai Aap se
Aap ke anwaar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Noor se Apne banaaya ho jise
Rabb ke Us shahkaar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Pal mein sadiyon ka Safar tay kar liya
Aap ki raftaar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Zakhm khaa kar bhi duaa di Aap ne
Aap ke kirdaar Jaisa kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Leke kandhon pe chale wo Ghaare Saur
Unke Yaare Ghaar Jaisa kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Do hein pehlu mein to do daamad hein
Unke chaaron Yaar Jaisa kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Zauja e Hazrat Ali Shere Khuda
Dukhtare Sarkar Jaisa kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Mominon ki Maa hai Amma Aayesha
Binte Yaare Ghaar Jaisa kaun hai Koi nahin
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Ae Junaide Qaasami konain mein
Mere Us ghamkhwaar Jaisa kaun hai Koi nahi
Boliye Sarkar Jaisa Kaun hai Koi nahin
Saiyyade Abraar Jaisa Kaun hai Koi nahin