Jab tak jiun main Aaqa, koi gham na paas aaye
Jo marun to ho lahad par, teri rahmato ke saaye
Hain khizaan ne daale dere, murja gaye hain sab gul
Mere ujde baag mein phir Aaqa, bahaar aaye
Meri zindagi ka maqsad, ho aye kaash! Ishq-e-Ahmad
Mujhe maut bhi jo aaye, isi justaju mein aaye
Mujhe maut zindagi de, mujhe zindagi maza de
Jo kitaab-e-zindagi par, mohar apni wo lagaaye
Tu basa de mere dil mein, haan! Usi ki yaad Maalik!
Wo jo wakt-e-naz'aa aa kar, kalma bhi yaad dilaaye
Na to kar saka hai koi, na karega pyaar aisa
Jo lahad mein aashikon ko, deke thapkiyan sulaaye
Wo diya jo bujh gaya tha, wo jo kho gayi thi sozaan
Hua har taraf ujaala, jo Huzoor muskuraaye
Chali aandhiyan gamon ki, giri bijliyan dukhon ki
Ye tera karam hai Aaqa! Ke qadam na ladkhadaaye
Jise maara ho gamon ne, jise ghera ho dukhon ne
Mera mashwara hai usko, wo Madina hoke aaye
Dar-e-yaar par pada hoon, is usool par gira hoon
Jo gira hua ho khud hi, use kaun ab giraaye
Main gulaam-e-Panjatan hoon, besahaara na samajhna
Main hoon Gaus ka deewana, koi haath to lagaaye
Yahi arzoo dil hai, teri bazm par kisi din
Ye tera Ubaid aaye, tujhe naat bhi sunaaye
जब तक जियूं में आक़ा ! कोई गम न पास आये
जो मरुँ तो हो लहद पर , तेरी रहमतों के साये
हैं ख़िज़ाँ ने डाले डेरे, मुर्जा गए हैं सब गुल
मेरे उजड़े बाग़ में फिर , आक़ा ! बहार आये
मेरी ज़िन्दगी का मक़सद , हो अये काश ! इश्के अहमद
मुझे मौत भी जो आये , इसी जुस्तजू में आये
मुझे मौत ज़िन्दगी दे, मुझे ज़िन्दगी मजा दे
जो किताब-ए-ज़िन्दगी पर , मोहर अपनी वो लगाए
तु बसा दे मेरे दिल में हाँ ! उसी की याद मालिक !
वो जो वक़्त-ए-नज़ा आ कर, कलमा भी याद दिलाये
न तो कर सका है कोई , न करेगा प्यार ऐसा
जो लहद में आशिकों को देके थपकियाँ सुलाए
वो दिया जो बुज गया था , वो जो खो गयी थी सोज़ाँ
हुआ हर तरफ उजाला , जो हुज़ूर मुस्कुराए
चली आंधियां ग़मों की , गिरी बिजलियाँ दुखों की
ये तेरा करम है आक़ा ! के क़दम न लड़खड़ाए
जिसे मारा हो ग़मों ने, जिसे गेरा हो दुखों ने
मेरा मश्वरा है उसको , वो मदीना होके आये
दर-ए-यार पर पड़ा हूँ, इस उसूल पर गिरा हूँ
जो गिरा हुआ हो खुद ही , उसे कौन अब गिराए
में गुलामे पंजतन हूँ , बेसहारा न समझना
में हूँ गौस का दीवाना , कोई हाथ न लगाए
यही आरज़ू दिली है, तेरे बज़्म पर किसी दिन
ये तेरा उबैद आये , तुजे नात भी सुनाए