Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
Aap jab aaye to ye gaib se aati thi sada
Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
Har taraf shor huaa rab ke payambar aaye
Hain jo hum sab ke shafi aaj wo sarwar aaye
Saare aalam ke liye ban ke wo rahbar aaye
Hain jo mahboob-e-Khuda shaafe-e-mahshar aaye
Aap ko dekh ke ye chaand-sitaron ne kaha
Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
Qatl ka kar ke iraada wo chale the ghar se
Keh rahe the ye badi shaan bade tewar se
Jism kar denge juda aaj Nabi ka sar se
Jab ladi un ki nazar chehra-e-Payambar se
Gir ke sarkaar ke qadmon pe Umar ne ye kaha
Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
Bu-Jahal ne ye kaha kaam mera suljha de
Shaan waale hain agar shaan humein dikhla de
Ai Nabi! Hum pe yahi ek karam farma de
Meri mutthi mein hai kya cheez humein batla de
Jhoom kar kalma Shah-e-deen ka kankar ne padha
Marhaba salle-ala salle-ala salle-ala
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला
आप जब आए तो ये ग़ैब से आती थी सदा
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला
हर तरफ़ शोर हुआ रब के पयंबर आए
हैं जो हम सब के शफ़ी आज वो सरवर आए
सारे आलम के लिए बन के वो रहबर आए
हैं जो महबूब-ए-ख़ुदा शाफ़े-ए-महशर आए
आप को देख के ये चाँद-सितारों ने कहा
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला
क़त्ल का कर के इरादा वो चले थे घर से
कह रहे थे ये बड़ी शान बड़े तेवर से
जिस्म कर देंगे जुदा आज नबी का सर से
जब लड़ी उन की नज़र चेहरा-ए-पैग़ंबर से
गिर के सरकार के क़दमों पे उमर ने ये कहा
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला
बू-जहल ने ये कहा काम मेरा सुलझा दें
शान वाले हैं अगर शान हमें दिखला दें
ऐ नबी ! हम पे यही एक करम फ़रमा दें
मेरी मुट्ठी में है क्या चीज़ हमें बतला दें
झूम कर कलमा शह-ए-दीन का कंकर ने पढ़ा
मरहबा सल्ले-अला सल्ले-अला सल्ले-अला