Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Shane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Ho jaye jo Ye Ishk mein Qurban-e-Muhammad
Kehlaye Meri Jaan hai Zee Jaane Muhammad
Jaane Muhammad
Ho Naate Bashar Kya koi Shayane Muhammad
Hai Jab ke Khuda khud hi Sana Khwane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Har Shakhs ki Gardan pe hai Ahesane Muhammad
Har Simt Nazar aata hai Faizane Muhammad
Faizane Muhammad
Mumkin nahin Mujse ho Bayan Shane Muhammad
Jibrile Ameen rehte the Darbane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Hai Aayate Haq Naame Khuda Shane Muhammad
Tafseer Isi ki hai Ye Quraane Muhammad
Quraane Muhammad
Sunke Diye Kya Aayate QUL FATTABIUNI
Mehboobe Khuda Taba-e-Farmane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Har Daur mein Batil ne Bahot Zor Lagaya
Lekin na bujhi Mash'ale Quraane Muhammad
Quraane Muhammad
Ummat mein Abu Bakr ka Sani nahin koi
Jo Paas tha Sab kar diya Qurbaane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Islam ki Azmat ko Umar ne hai Badhaya
Har Mulk mein faila diya Farmane Muhammad
Farmane Muhammad
Usman ne Irshade Nabi Samne rakkha
Sincha hai Lahu de ke Jo Bustane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad
Haidar ki Shuja'at ho ke Hamza ki Shahadat
Donon mein Nazar aayi Hamein Shane Muhammad
Shane Muhammad
Karta hai Wo Ash'aar mein bhi Zikre Sahaba
Jo bhi hai Hakikat mein Sana-Khwane Muhammad
Mein Aur Mere Maa Baap ho'n Qurban-e-Muhammad
Qurban-e-Muhammad Qurban-e-Muhammad