nazar pe kisi ki nazar ho rahi hai
meri chashm kaan-e-gauhar ho rahi hai
mere khufiya naalo.n ko wo sun rahe hei.n
'inaayat kisi ki kidhar ho rahi hai
wo taiba mei.n mujhko talab kar rahe hei.n
talab meri ab mo'tabar ho rahi hai
madine mei.n hu.n aur pichhla pahar hai
shab-e-zindagi ki sahar ho rahi hai
koi shab nahi.n hai zamaane mei.n aesi
shab-e-taiba rashk-e-qamar ho rahi hai
hua taalib-e-taiba matloob-e-taiba
talab teri aye muntazir ho rahi hai
nayi zindagi ki wo meh de rahe hei.n
meri zindagaani amar ho rahi hai
guzaara hai jis dar se dono.n jahaa.n ka
usi dar pe apni guzar ho rahi hai
madine se meri bala jaye akhtar
meri zindagi waqf-e-dar ho rahi hai
नज़र पे किसी की नज़र हो रही है
मेरी चश्म कान-ए-गौहर हो रही है
मेरे ख़ुफ़िया नालों को वो सुन रहे हैं
'इनायत किसी की किधर हो रही है
वो तैबा में मुझको तलब कर रहे हैं
तलब मेरी अब मो'तबर हो रही है
मदीने में हूँ और पिछला पहर है
शब्-ए-ज़िन्दगी की सहर हो रही है
कोई शब् नहीं है ज़माने में ऐसी
शब्-ए-तैबा रश्क़-ए-कमर हो रही है