Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Noor wale Mustafa Shehre Aalam mein Aa gaye
Dekhte hi dekhte saare Jahan pe chha gaye
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Jagmagaai hai ye Duniya Mustafa ke Noor se
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Jashne Aaqa par sajin galiyaan Sitaron ki tarha
Dil mein Khushiyan raks karti hein bahaaron ki tarha
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Doston dekho to sahi kaisi galiyaan saji hui hein
Kaisi Ronakein lagi hui hein,
Har taraf jande hi jande hein
Har Jagah Marhaba Ya Mustafa ki sadaein
Buland ho rahi hein
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Huzur ki Aamad ...... Marhaba
Purnoor ki Aamad ...... Marhaba
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Mubarak ho wo Shah parde se bahir hone wala hai
Gadai ko zamana jiske dar par aane wala hai
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Huzur ki Aamad ...... Marhaba
Purnoor ki Aamad ...... Marhaba
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Aaj to sara jahan hai Noor mein duba hua
Jis taraf dekho sama hai Noor mein duba hua
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Apne Donon Hathon se kushiyan lutaane aa gaye
Aa gaye Aaqa nayi Duniya basane aa gaye
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Aasman par chha gayi hein Rehmaton ki badliyaan
Kaun aaye hein ke barsi cham-chama-cham bundiyaan
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Salam Mustafa Salam Mustafa
Salam Mustafa Salam Mustafa
Assalatu Wassalamu Alayk Ya Rasulallah
Ya Rasulallah Apne gulaamon ka Salaam qubul kar lijiye
Ya Rasulallah Ham gunahgaaron ka Salaam qubul kar lijiye
Aye garibon ke waali Salam ho Aap par
Salam Aye Aamena ke laal Aye Mehbube Sub'hani
Salam Aye Fakhre maujudaat Fakhre naw e Insani
Salam Us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha
Salam Us par ke tuta boriya jiska bichhona tha
Salam Us par ke jisne be-kason ki dastagiri ki
Salam Us par ke jisne Badshaahi mein fakeeri ki
Salam Us par ke jisne chand ko do tukde farmaaya
Salam Us par ke jis ke hukm se Suraj palat aaya
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Noor dayein Noor bayein Noor aage pichhe Noor
Jurmaton mein Noor ke aaye saraapa rang ke Noor
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Zindagi bhar Naat ki mehfil sajate jayenge
Jaise bhi haalat hon, Unka Alam lehraayenge
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Baarwih ke Din mein jannat ke nazaare chha gaye
Unke kadmon mein Ujaagar Chand Taare aa gaye
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Aa gayi hai chha gayi hai sabz jandon ki bahar
Eide Miladunnabi hai jumon jumon Mere Yaar
Mere Aaqa Aaye Jhumon Mere Data Aaye Jhumon
Is Taraf jo Noor hai to us taraf bhi Noor hai
Zarra Zarra sab jahaan ka Noor se ma'moor hai
Mere Aaqa Aaye Jhumon Mere Data Aaye Jhumon