[youtube-video]https://youtu.be/ur2VJAhPGqs?si=Z7VrjdaSfO3M9fPw[/youtube-video]
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
gungunaate chalo, muskuraate chalo
naa'ra-e-ya-muhammad lagaate chalo
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
khoTi-qismat banaae.n chalo saath saath
mustafa ko manaae.n chalo saath saath
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
kaarwaan-e-muhammad rukega nahi.n
kamliwaale ka jhanda jhukega nahi.n
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
jashn-e-meelaad hai, kya hasee.n baat hai
sab ke daaman me.n KHushiyo.n ki KHairaat hai
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
hai.n Gulaamaan-e-ahmad, KHuda ki qasam
KHoon lete nahi.n, KHoon dete hai.n ham
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
apni jaano.n ki parwaah karte nahi.n
ham husaini hai.n, baatil se Darte nahi.n
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
mustafa ka gharaana salaamat rahe
baKHshisho.n ka Thikaana salaamat rahe
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
nafrato.n ko mohabbat me.n Dhaalenge ham
aao, sab ko gale se lagaaenge ham
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
qalb-e-Arshad ki hai bas yahi iltija
har musalma.n sipaahi bane deen ka
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath
mere aaqa ke naam, do qadam saath saath
Poet:
Arshad Habibi
Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
गुनगुनाते चलो, मुस्कुराते चलो
ना'रा-ए-या-मुहम्मद लगाते चलो
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
खोटी-क़िस्मत बनाएँ चलो साथ साथ
मुस्तफ़ा को मनाएँ चलो साथ साथ
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
कारवान-ए-मुहम्मद रुकेगा नहीं
कमलीवाले का झंडा झुकेगा नहीं
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
जश्न-ए-मीलाद है, क्या हसीं बात है
सब के दामन में ख़ुशियों की ख़ैरात है
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
हैं ग़ुलामान-ए-अहमद, ख़ुदा की क़सम
ख़ून लेते नहीं, ख़ून देते हैं हम
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
अपनी जानों की परवाह करते नहीं
हम हुसैनी हैं, बातिल से डरते नहीं
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे
बख़्शिशों का ठिकाना सलामत रहे
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
नफ़रतों को मोहब्बत में ढालेंगे हम
आओ, सब को गले से लगाएँगे हम
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
क़ल्ब-ए-अरशद की है बस यही इल्तिजा
हर मुसलमाँ सिपाही बने दीन का
शाह-ए-तयबा के नाम, दो क़दम साथ साथ
मेरे आक़ा के नाम, दो क़दम साथ साथ
शायर:
अरशद हबीबी
ना'त-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी