तुम जलो या मर जाओ | हम ख़ुशी मनाएँगे तुम जलो या मर जाओ / Tum Jalo Ya Mar Jao | Hum Khushi Manaenge Tum Jalo Ya Mar Jao

ham KHushi manaaenge, tum jalo ya mar jaao naa't gungunaaenge, tum jalo ya mar jaao mustafa ki aamad par sabz rang ka jhanda chhat pe ham lagaaenge, tum jalo ya mar jaao mustafa ki 'azmat par, 'izzat-e-payambar par jaan ham luTaaenge, tum jalo ya mar jaao maslak-e-raza, beshak ! raasta hai jannat ka sab ko ye bataaenge, tum jalo ya mar jaao

धूम हर जानिब मची है आप के मीलाद की / Dhoom Har Janib Machi Hai Aap Ke Milad Ki

dhoom har jaanib machi hai aap ke meelaad ki har musalmaa.n ko KHushi hai aap ke meelaad ki jin ke 'amalo.n me.n hai sab kuchh, par nahi.n chehre pe noor un ke daaman me.n kami hai aap ke meelaad ki beshumaar us par barasti hai.n KHuda ki rahmate.n bazm jis ghar me.n saji hai aap ke meelaad ki

जान-ए-रहमत शान-ए-रहमत आमिना का लाल है / Jaan-e-Rahmat Shaan-e-Rahmat Aamina Ka Laal Hai

jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal hai saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai shaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal hai saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai god me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kaha chaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal hai teri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.n ai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai

शाह-ए-तयबा के नाम दो क़दम साथ साथ / Shah-e-Tayba Ke Naam Do Qadam Saath Saath | Shah-e-Taiba Ke Naam Do Qadam Qadam Saath Saath

shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath mere aaqa ke naam, do qadam saath saath gungunaate chalo, muskuraate chalo naa'ra-e-ya-muhammad lagaate chalo shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath mere aaqa ke naam, do qadam saath saath khoTi-qismat banaae.n chalo saath saath mustafa ko manaae.n chalo saath saath

अरब से शाम तक जो रौशनी है | मेरे सरकार की आमद हुई है / Arab Se Sham Tak Jo Raushni Hai | Mere Sarkar Ki Aamad Hui Hai

'arab se shaam tak jo raushni hai mere sarkaar ki aamad hui hai haleema bi chali.n aaqa ko le kar ajab teji me.n un ki unTni hai mahal bhi jhuk ke dete hai.n salaami haleema bi ki aisi jhonp.Di hai bashar ki baat kya ! duniya ki har shai nabi ki naa't sun kar jhoomti hai nabi ki naa't ke aage Gazal bhi adab se haath ko baandhe kha.Di hai

या रसूल-ए-ख़ुदा मरहबा मरहबा / Ya Rasool-e-Khuda Marhaba Marhaba

marhaba marhaba ! marhaba marhaba ! marhaba marhaba ! marhaba ya nabi ! ya nabi ! ya nabi ! ya rasool-e-KHuda ! marhaba marhaba ! ya rasool-e-KHuda ! marhaba marhaba ! jab ki paida hue the hamaare nabi bhole-bhaale nabi, pyaare pyaare nabi dono.n 'aalam ki aankho.n ke taare nabi apne naazuk labo.n se pukaare.n nabi ummati ummati ya rasool-e-KHuda ! marhaba marhaba !

दुरूदों की शम्मा लबों पर सजाओ | अँधेरा मिटाने हुज़ूर आ रहे हैं / Duroodon Ki Shamma Labon Par Sajao | Andhera Mitane Huzoor Aa Rahe Hain

duroodo.n ki shamma' labo.n par sajaao andhera miTaane huzoor aa rahe hai.n uTho, sunniyo ! apne daaman ko bhar lo muqaddar jagaane huzoor aa rahe hai.n zara pa.Dh ke salle-'ala ya muhammad gharo.n ko sajaao huzoor aa rahe hai.n dil-o-jaan kar do sab un ke hawaale ki palke.n bichhaao huzoor aa rahe hai.n suhaani gha.Di aur pichhla pahar hai tabassum-ba-daama wo dekho qamar hai

ख़ुदा की रहमत बरस रही है | हुज़ूर तशरीफ़ ला रहे हैं / Khuda Ki Rehmat Baras Rahi Hai | Huzoor Tashreef La Rahe Hain

KHuda ki rehmat baras rahi hai huzoor tashreef laa rahe hai.n farishte ghar aamina ka jaa kar KHud apne haatho.n saja rahe hai.n nabi ka bachpan tha kya salona ki chaand tha aap ka khilauna kabhi khilaune ko to.Dte hai.n kabhi khilauna bana rahe hai.n dukaane.n bu-jahl ki hai.n jitni wo ek bhi ab nahi.n khulengi the jis me.n jhooTe KHuda usi me.n huzoor taala laga rahe hai.n

आमिना बी के प्यारे का जश्न मनाओ मिल के / Amina Bi Ke Pyare Ka Jashn Manao Mil Ke (All Versions)

KHushiya.n manaao, jhande lagaao, ghar ko sajaao mil ke apne nabi ki 'azmat ke tum geet sunaao mil ke charaaGaa.n hi charaaGaa.n ho.n, KHushi ke shaadiyaane ho.n mere aaqa ki aamad hai, sadaae.n marhaba ki ho.n

नबी का जश्न आया है फ़िदा हैं आशिक़ान-ए-रसूल / Nabi Ka Jashn Aaya Hai Fida Hain Aashiqan-e-Rasool

sarkaar ki aamad ! marhaba ! dildaar ki aamad ! marhaba ! manThaar ki aamad ! marhaba ! sab mil kar bolo ! marhaba ! nabi ka jashn aaya hai, fida hai.n 'aashiqaan-e-rasool nabi ka jashn aaya hai, fida hai.n 'aashiqaan-e-rasool

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल, अल्लाह ही अल्लाह ! बीबी आमिना के फूल, अल्लाह ही अल्लाह ! अल्लाह ही अल्लाह ! बोलो ! अल्लाह ही अल्लाह ! अल्लाह ही अल्लाह ! बोलो ! अल्लाह ही अल्लाह !