habibi jadd-al-hasnain ! ya rasoolallah ! habibi jadd-al-hasnain ! ya rasoolallah ! chaar-soo ujaala ujaala mustafa ke aane se KHushiyo.n bhare din-raat hai.n meelaad ke lamhaat hai.n dil ke ajab jazbaat hai.n meelaad ke lamhaat hai.n habibi jadd-al-hasnain ! ya rasoolallah ! habibi jadd-al-hasnain ! ya rasoolallah !
aa gae sarkaar ! jhoomo ! nabiyo.n ke sardaar ! jhoomo ! do jag ke muKHtaar ! jhoomo ! hai.n sab ke Gam-KHwaar ! jhoomo ! ye meelaad-e-KHair-ul-wara ho raha hai ye meelaad-e-KHair-ul-wara ho raha hai aaqa ki aamad ! marhaba !
ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa ! tu hai 'aashiq-e-nabi sab ko ye bataae jaa mustafa ke 'ishq me.n mehfile.n sajaae jaa ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa ! jashn-e-aamad-e-nabi, jashn-e-aamad-e-nabi dil se tu manaae jaa, dil se tu manaae jaa ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa ! ya mustafa !
assalaamu 'alaika ya ! ya rasoolallah ! assalaamu 'alaika ya habibi ! ya nabiyallah ! saj gai hai ye zamee.n, saj gaya hai aasmaa.n mustafa ke noor se saj gaya hai kul jahaa.n marhaba ! marhaba ! marhaba ya mustafa salle-'ala ! duniya ka sab se ba.Da, sab se ba.Da jashn hai mere sarkaar ke meelaad ka ye jashn hai aaqa ka jashn hai, maula ka jashn hai pyaare ka jashn hai, jashn hai
salle-'ala nabiyyina ! salle-'ala muhammadin ! salle-'ala shafi'ena ! salle-'ala muhammadin ! sadiyo.n se jo karte hai.n, wohi kaam karenge is saal bhi ham shaan se meelaad karenge gar shaan se jeena hai to meelaad hai karna uTha ke sar chalna hai to meelaad hai karna kaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham ! kaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham !
ya rasoolallah ! ya habeeballah ! pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah ! tum bhi kar ke un ka charcha apne dil chamkaao unche me.n uncha nabi ka jhanda aa'la se aa'la nabi ka jhanda 'azmat waala nabi ka jhanda ghar ghar me.n lehraao pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah ! pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah !
noor se apne sarwar-e-'aalam duniya jagmagaane aae Gam ke maaro.n, dukhiyaaro.n ko wo seene se lagaane aae duniya jagmagaane aae duniya jagmagaane aae noor-e-nigaah-e-ambiya mere huzoor aa gae shaan-o-nishaan-e-kibriya mere huzoor aa gae noor se apne sarwar-e-'aalam duniya jagmagaane aae
marhaba ! bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba ! momino ! waqt-e-adab hai aamad-e-mahboob-e-rab hai jaa-e-aadaab-o-tarab hai aamad-e-shaah-e-'arab hai marhaba ! bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba ! baj rahe hai.n shaadiyaane but lage kalima sunaane har zabaa.n par hai.n taraane aamad-e-shaah-e-'arab hai
salle-'ala pukaaro, sarkaar aa rahe hai.n uTho, ai be-sahaaro ! sarkaar aa rahe hai.n maulood ki gha.Di hai, chalo aamina ke ghar par ai KHuld ki bahaaro ! sarkaar aa rahe hai.n jo maangna hai maango, jo lena hai so le lo duniya ke taajdaaro ! sarkaar aa rahe hai.n
saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae duniya te do-jahaanaa.n de muKHtaar aa gae saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae ghar aamina de ho gai aamad huzoor di vekhaN farishte aap da ruKHsaar aa gae saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae
jashn-e-'eid-e-baarahwi.n mana aa gae huzoor aa gae goonj uThi sada-e-marhaba aa gae huzoor aa gae 'arsh-o-farsh ki thi guftugu mai.n ba.Da hu.n ya ba.Da hai tu farsh bola ab hu.n mai.n ba.Da aa gae huzoor aa gae jashn-e-'eid-e-baarahwi.n mana aa gae huzoor aa gae goonj uThi sada-e-marhaba aa gae huzoor aa gae