allahumma salli 'ala sayyidina muhammadin allahumma salli 'ala sayyidina muhammadin allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko sarkaar ki ulfat se imaa.n ko jagaae jaa sab ahl-e-mohabbat ko deewaana banaae jaa allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko allah salaamat rakhe
rab ki rahmat ke talabgaar ! chalo, naa't pa.Dhe.n aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n gar dawa kaam nahi.n karti to ik kaam karo Theek ho jaaega beemaar, chalo, naa't pa.Dhe.n un ke deewaane.n kahenge ye ba-roz-e-mahshar aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n
mausam suhaana huaa, nabi ka jab aana huaa mere aaqa ke jalwo.n se raushan zamaana huaa qurbaan jaau.n mai.n ye bole jibreel-e-amee.n ki sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa
Gali Gali Saj Gayi, Shehar Shehar Saj gaya Aaye Nabi Pyare Nabi, Mera bhi Ghar Saj gaya Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Mustafa se Pyar hai Dil se Ye Ikrar hai Har koi Milade Nabi karne ko Tayyar hai Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Dar-e-Aqdas pe Haal-e-Dil sunana yaad aata hai Madina yaad aata hai, Madina yaad aata hai Madine mein jo guzra wo zamana yaad aata hai Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai Adab se baith kar Us Gumbad-e-Khazra ke saye mein Nabi ki yaad mein aansu bahana yaad aata hai
Aye Khatme Rusool Makki Madani Konain mein Tumsa koi nahin Aye Noore Mujassam Tuj jaisa Mahboob Khuda ka koi nahin Ausaaf to sab ne paaye hein Par husn me.n Tum sa koi nahi.n Aadam se Janaabe Isa tak Sarkar ke jaisa koi nahin
Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Rabb ne bade pyar se Meraaj mein kaha Rehne do nalayn ko aa jaao Mustafa
Apne Malik ka Main Naam lekar Bazm ki Ibtida kar raha hun Ya Khuda Aabru rakh Meri Tu Teri Hamdo Sana kar raha hun Tu Jo chahe to ban jaye Kismat Mere Sajdon ki kya hai hakikat Teri Chokhat pe Sar ko jhuka kar Farz Apna ada kar raha hun Apne Malik ka Main Naam lekar Bazm ki Ibtida kar raha hun
Sahar ka Waqt tha Maasum kaliyaa.n Muskuraati thi.n Hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n Abhi Jibreel bhi utre na the Kaabe ke mimbar se Ke Itne me.n sadaa aayi hai Abdullah ke ghar se Mubaarak ho Shahe har-do-saraa tashreef le aaye Mubaarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aaye Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman 'abadan 'Ala Habibi-k khairil Khalki Kullimi
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa A Sahbihi Wa Barik Wa Sallim Sabse Ula wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka Pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar, Unki Tasweer seene mein maujood hai, Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya, Wo Muhammad Madine mein Moujud hai, Hai Nazar mein Jamaale Habibe Khuda, Unki Tasweer Seene mein Maujud hai, Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya, Wo Muhammad Madine mein Moujud hai,
roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-saKHaawat pe ye mangta tera haath uTThe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai, shah-e-bat.ha ! tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera