rab ki rahmat ke talabgaar ! chalo, naa't pa.Dhe.n aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n gar dawa kaam nahi.n karti to ik kaam karo Theek ho jaaega beemaar, chalo, naa't pa.Dhe.n un ke deewaane.n kahenge ye ba-roz-e-mahshar aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n
mausam suhaana huaa, nabi ka jab aana huaa mere aaqa ke jalwo.n se raushan zamaana huaa qurbaan jaau.n mai.n ye bole jibreel-e-amee.n ki sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa
Sahar ka Waqt tha Maasum kaliyaa.n Muskuraati thi.n Hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n Abhi Jibreel bhi utre na the Kaabe ke mimbar se Ke Itne me.n sadaa aayi hai Abdullah ke ghar se Mubaarak ho Shahe har-do-saraa tashreef le aaye Mubaarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aaye Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman 'abadan 'Ala Habibi-k khairil Khalki Kullimi
roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-saKHaawat pe ye mangta tera haath uTThe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai, shah-e-bat.ha ! tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera
machi hai dhoom, payambar ki aamad aamad hai habeeb-e-KHaaliq-e-akbar ki aamad aamad hai kiya hai sabz 'alam nasb baam-e-kaa'ba par ki do-jahaan ke sarwar ki aamad aamad hai
marhaba marhaba, jaddal-husaini ! marhaba marhaba marhaba, ya noor-al-'aini ! marhaba pur-noor hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat parda uTha hai kis ka sub.h-e-shab-e-wilaadat marhaba marhaba, jaddal-husaini ! marhaba marhaba marhaba, ya noor-al-'aini ! marhaba fasl-e-bahaar aai, shakl-e-nigaar aai gulzaar hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat
allah ! allah ! allah ! allah ! aae aaqa, madani aaqa pyaare pyaare pyaare aaqa allah ! allah ! allah ! allah ! aamina bibi ke gulshan me.n aai hai taaza bahaar pa.Dhte hai.n sallallahu wa sallam aaj dar-o-deewaar madani allah ! allah ! allah ! allah ! aae aaqa, madani aaqa mere pyaare pyaare aaqa
mere aaqa ! madine bula lijiye mere aaqa ! madine bula lijiye sahaara chaahiye, sarkaar ! zindagi ke liye ta.Dap raha hu.n madine ki haaziri ke liye tayba ke jaane waale ! jaa kar ba.De adab se mera bhi qissa-e-Gam kehna shah-e-'arab se kehna ki, shaah-e-'aalam ! ik ranj-o-Gam ka maara dono.n jahaa.n me.n jis ka hai.n aap hi sahaara
ye kis shahanshaah-e-waala ki aamad aamad hai ye kaun se shah-e-baala ki aamad aamad hai ye aaj kahe ki shaadi hai, 'arsh kyu.n jhooma lab-e-zamee.n ko lab-e-aasmaa.n ne kyu.n chooma rusul unhi.n ka to muzda sunaane aae hai.n unhi.n ke aane ki KHushiyaa.n manaane aae hai.n farishte aaj jo dhoome.n machaane aae hai.n unhi.n ke aane ki shaadi rachaane aae hai.n
dhoom macha do aamad ki, aa gae sarkaar dhoom macha do aamad ki, aa gae sarkaar machi hai dhoom payambar ki aamad aamad hai habeeb-e-rabb-e-akbar ki aamad aamad hai dhoom macha do aamad ki, aa gae sarkaar dhoom macha do aamad ki, aa gae sarkaar ye kis shahanshaah-e-waala ki aamad aamad hai ye kaun se shah-e-baala ki aamad aamad hai
aamina ka laal aaya ! husn-e-be-misaal aaya ! saahib-e-kamaal aaya ! amina ka laal aaya ! aae mere pyaare muhammad ! aae mere pyaare muhammad ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! marhaba ! saare nabiyo.n ke ban ke sardaar aae mere pyaare muhammad ! aae mere pyaare muhammad ! aamina bibi ke angna me.n hoor-o-malaaik aae hue hai.n
pur-noor hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat parda uTha hai kis ka sub.h-e-shab-e-wilaadat jalwa hai haq ka jalwa sub.h-e-shab-e-wilaadat saaya KHuda ka saaya sub.h-e-shab-e-wilaadat fasl-e-bahaar aai, shakl-e-nigaar aai gulzaar hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat phoolo.n se baaG mehke, shaaKHo.n pe murG chehke 'ahd-e-bahaar aaya sub.h-e-shab-e-wilaadat
barahwi.n ka chaand aaya, barahwi.n ka chaand barahwi.n ka chaand aaya, barahwi.n ka chaand jhande lagaao ! ghar ko sajaao ! kar ke charaaGaa.n KHushiyaa.n manaao ! barahwi.n ka chaand aaya, barahwi.n ka chaand barahwi.n ka chaand aaya, barahwi.n ka chaand bachcha bachcha muskuraaya, barahwi.n ka chaand aaya bachcha bachcha muskuraaya, barahwi.n ka chaand aaya
तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! बलग़ल उ़ला बिकमालिहि, कशफ-द्दुजा बिजमालिहि हसुनत जमीउ़ खि़सालिहि, स़ल्लू अ़लयहि व आलिहि तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! तू अमीर-ए-हरम, मैं फ़क़ीर-ए-अ'जम तेरे गुन और ये लब, मैं तलब ही तलब तू अता ही अता ! तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा ! तू कुजा, मन कुजा !
baarahwi.n ka noor dil pe chha gaya, aa gae nabi, aa gae nabi noor se saja 'arsh-e-kibriya, aa gae nabi, aa gae nabi parchamo.n ki hai bahaar, hai KHushi ye shaandaar har taraf baras rahi hai rahmato.n ki jo phuwaar har taraf samaa.n kaif se bhara, aa gae nabi, aa gae nabi baarahwi.n ka noor dil pe chha gaya, aa gae nabi, aa gae nabi