salle-'ala nabiyyina ! salle-'ala muhammadin ! salle-'ala shafi'ena ! salle-'ala muhammadin ! sadiyo.n se jo karte hai.n, wohi kaam karenge is saal bhi ham shaan se meelaad karenge gar shaan se jeena hai to meelaad hai karna uTha ke sar chalna hai to meelaad hai karna kaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham ! kaho na ! kaho na ! kaho meelaad waale ham !
ya rasoolallah ! ya habeeballah ! pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah ! tum bhi kar ke un ka charcha apne dil chamkaao unche me.n uncha nabi ka jhanda aa'la se aa'la nabi ka jhanda 'azmat waala nabi ka jhanda ghar ghar me.n lehraao pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah ! pukaaro, ya rasoolallah ! ya habeeballah !
noor se apne sarwar-e-'aalam duniya jagmagaane aae Gam ke maaro.n, dukhiyaaro.n ko wo seene se lagaane aae duniya jagmagaane aae duniya jagmagaane aae noor-e-nigaah-e-ambiya mere huzoor aa gae shaan-o-nishaan-e-kibriya mere huzoor aa gae noor se apne sarwar-e-'aalam duniya jagmagaane aae
marhaba ! bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba ! momino ! waqt-e-adab hai aamad-e-mahboob-e-rab hai jaa-e-aadaab-o-tarab hai aamad-e-shaah-e-'arab hai marhaba ! bolo marhaba marhaba ! jhoom kar bolo marhaba ! baj rahe hai.n shaadiyaane but lage kalima sunaane har zabaa.n par hai.n taraane aamad-e-shaah-e-'arab hai
salle-'ala pukaaro, sarkaar aa rahe hai.n uTho, ai be-sahaaro ! sarkaar aa rahe hai.n maulood ki gha.Di hai, chalo aamina ke ghar par ai KHuld ki bahaaro ! sarkaar aa rahe hai.n jo maangna hai maango, jo lena hai so le lo duniya ke taajdaaro ! sarkaar aa rahe hai.n
saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae duniya te do-jahaanaa.n de muKHtaar aa gae saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae ghar aamina de ho gai aamad huzoor di vekhaN farishte aap da ruKHsaar aa gae saare pa.Dho durood aj sarkaar aa gae
jashn-e-'eid-e-baarahwi.n mana aa gae huzoor aa gae goonj uThi sada-e-marhaba aa gae huzoor aa gae 'arsh-o-farsh ki thi guftugu mai.n ba.Da hu.n ya ba.Da hai tu farsh bola ab hu.n mai.n ba.Da aa gae huzoor aa gae jashn-e-'eid-e-baarahwi.n mana aa gae huzoor aa gae goonj uThi sada-e-marhaba aa gae huzoor aa gae
ham KHushi manaaenge, tum jalo ya mar jaao naa't gungunaaenge, tum jalo ya mar jaao mustafa ki aamad par sabz rang ka jhanda chhat pe ham lagaaenge, tum jalo ya mar jaao mustafa ki 'azmat par, 'izzat-e-payambar par jaan ham luTaaenge, tum jalo ya mar jaao maslak-e-raza, beshak ! raasta hai jannat ka sab ko ye bataaenge, tum jalo ya mar jaao
dhoom har jaanib machi hai aap ke meelaad ki har musalmaa.n ko KHushi hai aap ke meelaad ki jin ke 'amalo.n me.n hai sab kuchh, par nahi.n chehre pe noor un ke daaman me.n kami hai aap ke meelaad ki beshumaar us par barasti hai.n KHuda ki rahmate.n bazm jis ghar me.n saji hai aap ke meelaad ki
jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal hai saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai shaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal hai saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai god me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kaha chaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal hai teri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.n ai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai
shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath mere aaqa ke naam, do qadam saath saath gungunaate chalo, muskuraate chalo naa'ra-e-ya-muhammad lagaate chalo shaah-e-tayba ke naam, do qadam saath saath mere aaqa ke naam, do qadam saath saath khoTi-qismat banaae.n chalo saath saath mustafa ko manaae.n chalo saath saath
'arab se shaam tak jo raushni hai mere sarkaar ki aamad hui hai haleema bi chali.n aaqa ko le kar ajab teji me.n un ki unTni hai mahal bhi jhuk ke dete hai.n salaami haleema bi ki aisi jhonp.Di hai bashar ki baat kya ! duniya ki har shai nabi ki naa't sun kar jhoomti hai nabi ki naa't ke aage Gazal bhi adab se haath ko baandhe kha.Di hai