marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa ! naseeb chamke hai.n farshiyo.n ke ki 'arsh ke chaand aa rahe hai.n jhalak se jin ki falak hai raushan wo shams tashreef laa rahe hai.n marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa ! marhaba ya mustafa !
falak ke nazaaro ! zamee.n ki bahaaro ! sab 'eide.n manaao, huzoor aa gae hai.n uTho Gam ke maaro ! chalo be-sahaaro ! KHabar ye sunaao, huzoor aa gae hai.n
rabi'unnoor aaya hai rabi'unnoor aaya hai rahe.n haatho.n me.n jhandiyaa.n chalo baante.n miThaaiyaa.n jalaao mom-battiyaa.n saje darwaaze khi.Dkiyaa.n giraao jalne waalo.n ke - dilo.n par aaj bijliyaa.n zamee.n mahki, falak chamka hai kaa'ba muskuraaya hai rabi'unnoor aaya hai rabi'unnoor aaya hai
allahumma salli 'ala sayyidina muhammadin allahumma salli 'ala sayyidina muhammadin allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko sarkaar ki ulfat se imaa.n ko jagaae jaa sab ahl-e-mohabbat ko deewaana banaae jaa allah salaamat rakhe meelaad manaane waalo.n ko allah salaamat rakhe
rab ki rahmat ke talabgaar ! chalo, naa't pa.Dhe.n aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n gar dawa kaam nahi.n karti to ik kaam karo Theek ho jaaega beemaar, chalo, naa't pa.Dhe.n un ke deewaane.n kahenge ye ba-roz-e-mahshar aa gae sayyid-e-abraar, chalo, naa't pa.Dhe.n
mausam suhaana huaa, nabi ka jab aana huaa mere aaqa ke jalwo.n se raushan zamaana huaa qurbaan jaau.n mai.n ye bole jibreel-e-amee.n ki sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa
Gali Gali Saj Gayi, Shehar Shehar Saj gaya Aaye Nabi Pyare Nabi, Mera bhi Ghar Saj gaya Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Mustafa se Pyar hai Dil se Ye Ikrar hai Har koi Milade Nabi karne ko Tayyar hai Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Aye Khatme Rusool Makki Madani Konain mein Tumsa koi nahin Aye Noore Mujassam Tuj jaisa Mahboob Khuda ka koi nahin Ausaaf to sab ne paaye hein Par husn me.n Tum sa koi nahi.n Aadam se Janaabe Isa tak Sarkar ke jaisa koi nahin
Sahar ka Waqt tha Maasum kaliyaa.n Muskuraati thi.n Hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n Abhi Jibreel bhi utre na the Kaabe ke mimbar se Ke Itne me.n sadaa aayi hai Abdullah ke ghar se Mubaarak ho Shahe har-do-saraa tashreef le aaye Mubaarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aaye Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman 'abadan 'Ala Habibi-k khairil Khalki Kullimi
roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-saKHaawat pe ye mangta tera haath uTThe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai, shah-e-bat.ha ! tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera
machi hai dhoom, payambar ki aamad aamad hai habeeb-e-KHaaliq-e-akbar ki aamad aamad hai kiya hai sabz 'alam nasb baam-e-kaa'ba par ki do-jahaan ke sarwar ki aamad aamad hai
marhaba marhaba, jaddal-husaini ! marhaba marhaba marhaba, ya noor-al-'aini ! marhaba pur-noor hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat parda uTha hai kis ka sub.h-e-shab-e-wilaadat marhaba marhaba, jaddal-husaini ! marhaba marhaba marhaba, ya noor-al-'aini ! marhaba fasl-e-bahaar aai, shakl-e-nigaar aai gulzaar hai zamaana sub.h-e-shab-e-wilaadat