ajmer ka jab ye manzar hai , baghdaad ka manzar kya hoga rahete he.n jahaa.n nabiyo.n ke nabi, wo shahar-e-munawwar kya hoga wo kalma padaaye.n choro.n ko, murdo.n ko uthaa de.n thookar se jab ghaus me.n itna paawar hai, to sarkaar ka paawar kya hoga he.n aaj bhi apne uljan me.n, uthte he.n sawaal aksar man me.n jo apna janaaza khud hi padhe, wo saabir-e-kaliyar kya hoga
sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani wo mahboob-e-sub'haani shah-baaze la-makaani wo kindile noorani sardaar-e-auliya he.n mere ghaus piya jilaani tere jadd ki hai barwi ghaus-e-aa'zam mili hai tuje gyaarwi ghaus-e-aa'zam
chalo baghdaad chalo ghaus-e-paak ke roze bade hazrat ki baargaah chalo noor-e-kausar ke sath mil kar chalo wah ! kya martaba aye ghaus ! hai baala tera unche uncho.n ke saro.n se qadam aala tera
shaah-e-jilaa.n !, peer-e-peeraa.n murshid mere ghaus-e-paak apne dar par , apne mangte ko bulaae.n ghaus-e-paak aur apni deed ka sharbat pilaae.n ghaus-e-paak
sakht mushkil me.n hu.n baghdaad se aao jaldi mujko ya ghaus ! musibat se chhudaao jaldi ek ishaare se tumhare hue murda zinda qalb-e-murda ko hamaare bhi jilaao jaldi
Imdad kun Imdad kun, Az Ranj-o-gham aazad kun Dar Deen-o-Duniya shaad kun, Ya Ghaus-e-Aazam Dastageer ! Tere Hath me.n Hath Maine diya hai Tere Hath hai Laaj Ya Gaus-e-Aazam ! Imdad kun Imdad kun, Az Ranj-o-gham aazad kun Dar Deen-o-Duniya shaad kun, Ya Ghaus-e-Aazam Dastageer !
pukaaro, shaah-e-jeelaa.n ko pukaaro badal jaaegi qismat, be-sahaaro ! ye dar mahboob-e-sub.haani ka dar hai bhikaari ban ke aao, taajdaaro !