Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera Noori Poshak hai Razwi hai Amama Tera
Ghulshan-e-Ala Hazrat Ki Jo Jaan Hai Mere Tajush-Shariaa Ki Kya Shaan Hai
Mustafa ka ham-safar, Abu Bakar, Abu Bakar, Gali-gali, nagar-nagar, Abu Bakar, Abu Bakar, Lutaaya jisne apna ghar, Abu Bakar, Abu Bakar, Ahesaan jiska deen par, Abu Bakar, Abu Bakar,
Ishq ka unwaan, Taaj Ul Auliya, Sunniyo'n ki jaan, Taaj Ul Auliya. Jis ke phoolo'n mein hai Taiba ki mahek, Wo haseen guldaan, Taaj Ul Auliya.
Teri zaat par, tere naam par, Khwaja! Hum Gareebo ko naaz hai, Tu bada Gareeb-nawaaz hai, Tu bada Gareeb-nawaaz hai.
Suno Humare Dilo Ki Sada Ataa e Rasool Karam Ho Hum Pe Bhi Khawaja Piya Baraa e Rasool Phir Ek Baar Banado Musafir e Taiba Khuda Ke Waste Kardo Ata Liqa e Rasool
Kursi par koi bhi baithe Raja to mera Khwaja hai Saare Hind ka hai raja Mera Khwaja maharaja
Aye Aale Nabi Khwaja Aulade Ali Khwaja Hasanain Ke Gulshan Ho Zahra Ki Kali Khwaja Haathon Mein Tumhare Ho Mansha E Wali Khwaja Hasanain Ke Gulshan Ho Zahra Ki Kali Khwaja
mera murshid sohna, mera murshid sohna mera murshid sohna, mera murshid sohna mai.n neewaa.n mera murshid uchcha uchiyaa.n de sang laai sadqe jaawaa.n inaa.n uchiyaa.n to.n jinhaa.n neewiyaa.n naal nibhaai
ajmer ka jab ye manzar hai , baghdaad ka manzar kya hoga rahete he.n jahaa.n nabiyo.n ke nabi, wo shahar-e-munawwar kya hoga wo kalma padaaye.n choro.n ko, murdo.n ko uthaa de.n thookar se jab ghaus me.n itna paawar hai, to sarkaar ka paawar kya hoga he.n aaj bhi apne uljan me.n, uthte he.n sawaal aksar man me.n jo apna janaaza khud hi padhe, wo saabir-e-kaliyar kya hoga
KHuda ki rehmat baras rahi hai huzoor tashreef laa rahe hai.n farishte ghar aamina ka jaa kar KHud apne haatho.n saja rahe hai.n nabi ka bachpan tha kya salona ki chaand tha aap ka khilauna kabhi khilaune ko to.Dte hai.n kabhi khilauna bana rahe hai.n dukaane.n bu-jahl ki hai.n jitni wo ek bhi ab nahi.n khulengi the jis me.n jhooTe KHuda usi me.n huzoor taala laga rahe hai.n